HINDI - STATEMENT BY THE PERMANENT SECRETARY FOR HEALTH & MEDICAL SERVICES DR. JAMES FONG - 11.10.21

11/10/2021


Transmission Update:
Pichle chaubees (24) ghanton mein aaj subha aat baje tak COVID-19 ke 36 naye mamle saamne aaye hai jinmein se 72% naye mamle Western Division ke hain jabki 28% mamle Central Division ke.

Iss mahamaari ka curve darshata hai ki Iss saal April mein shuru huwe prakop ke dauraan 51,465 mamle saamne aaye. Pichle saal March mein desh ka pehla mamla saamne aane ke baad Fiji mein 51,465 mamle saamne aaye hain jinmein se 71% mamle Central Division ke the, 27% mamle Western Division ke aur 2% mamle Eastern aur Northern Division se.

7th October 2021, tak saat dino ka average dainik COVID-19 mamle 54 hai.

Mautein:
Aaj COVID-19 ki wajah se koi bhi maut hone ki report nahi mili hai.

COVID-19 ke liye positive paaye gaye ek maut huwi hai lekin unke doctors kahte hai ki unki maut COVID-19 ki wajah se nahi huwi hai balki joh bimaari unhe pahle huwi thi uski wajah se huwi.
 
Fiji mein COVID-19 ki wajah se 653 maute ho chuki hai, inme se 651 maute iss saal April me shuru huwe prakop ke baad huwi. Kripya dhyaan de ki clinical teamo ko chanbin karne, classify aur maut ki report dene ke liye samay lagta hai, isi liye chaar dino ka interval diya jaayega taaki maut ki taarikh ko dekhte huwe, saat dino ke average mauton ka hisaab rakha jaayega taaki average ki report se pehle sahi data batora jaaye. Isiliye 8th October tak saat dino ka average dainik COVID-19 maut ek din mein 0.1 hai. Saat dino ka average dainik COVID-19 maut Central Division mein 0.1 hai aur Western Division mein 0.0 hai. 
 
COVID-19 ke liye positive paaye gaye 534 logon ki maut anye gamheer bimaari ki wajah se huwi hai joh unke COVID-19 ke liye positive paaye jaane se pehle huwi thi. Inn mauton ko COVID-19 karar nahi diya gaya hai.
 
Mahamaari ki Outlook
Pichle saat dino mein COVID ke naye mamle ki sankhya average taor par prati din 44 mamle ho gaye hai yaani ek million logon mein 50 mamle. Jaisa ki pehle Permanent Secretary ne ghoshna kee thi ki dainik mamle ki sankhya ka upyog karke abhi mahamari ke progress ka sanket nahi diya jaa raha hai. Ministry anye sanket jaise ki test positivity, aspataal mein kitne log bharti hai aur kitni kitni logon ki maut huwi par nigraani rakhe huwe hai aur mahamari ke progress ko aank rahe hai.
 
Testing numbers me girawat hone se, testing numbers prati saptah WHO ke sujhao 1000 population me chaar hai (ya prati saptah 3500 tests) hai. Hum abh samaaj mein Surveillance testing par gaor karenge aur positivity rates rokthaam ke phase ke level tak jaane lage hai.
 
Aam janta ko salah:
Maritime samudayo ke liye bimari par nigrani
COVID-19 se asar pade maritime samudao se sanket mila hai ki waha par sthiti abh niyantran mein hai. Lautoka Yasawa community engagement initiative aur dus dino ke liye jaari rahega jaha wibhin mantralaye ke civil sewak containment aur vaccination karye ko sambhaal rahe hain. Mantralaye abhi anye maritime samudayo aur unn dwipo par survey ka kaam chal raha hai jo unn maritime ilaako ke nazdeek mein hai jahan kayi mamle miley hain. Abhi tak anye ilaako mein unn ilaako se virus failne ki report nahi mili hai.
 
Sthaniye repatriation protocol
Fiji diwas ke din Raviwaar ki raat ko Viti Levu se Vanua Levu mein stahniye repatriation protocol ko lekar doh bade badlao kiye gaye hai.
 
  1. Quarantine karikaram mein aawa-jahi par rok ki awdhi ko abh ghata kar saat din kar diya gaya hai.
  2.  
  3. Ghar par quarantine karne ka vikalp abh uplabdh hai.
 
Kripya dhyan de ki iska matlab hai ki hamare paas abhi bhi quarantine prakriya hai jiska palan karne ki awashyakta hai. Iss quarantine process ki nigrani aur testing logistics ki suvidha ke liye hume abhi bhi vektiyon ko Repatriation Pass dene ki awashyakta hai. Jitne bhi Repatriation yatri hain ko Register hona hoga aur Domestic Repatriation ke liye Registration Reference Number diya jayega. Registered vekti joh Domestic Repatriation ke liye #163, MCTTT Facebook Page, ya iss email domesticrepat@mcttt.gov.fj  ke zariye register huwe hai. Yatriyon ko safar ka ticket kharidne se pehle Pass lene ki zaroorat hai. Sabhi pass MHMS ke Office of the Commissioners (Central and Eastern Divisions) se lene honge. Aur jaankari ki paas kaise prapt kare 158 COVID helpline ya  3475190  par sampark kare joh subha 8am baje se raat 9pm baje tak har din khuli rehti hai. Ya email kare ccdrepat@gmail.com ya covidpassmoh@gmail.com.