HINDI - STATEMENT BY THE PERMANENT SECRETARY FOR HEALTH & MEDICAL SERVICES DR. JAMES FONG - 15.10.21

15/10/2021


Sui lagane ki jaankari
Jaisa ki pehle kaha gaya tha, Pehla dose 95% se aage hai, isspar ek jaanch jaari hai jiske baad kuch badlao honge. Pehle dose ka coverage rate aaj adjust kiya gaya hai taaki jaach ko dikhaya jaye. 

Virus failne ki jaankari
Aakhri update ke baad 14/10/2021 ko 38 naye mamle record huwe jabki pichle chaubees ghanton me aaj subha aat baje tak 15 naye mamle record huwe the. 

Iss mahamaari ka curve darshata hai ki Iss saal April mein shuru huwa. Pichle saal March mein desh ka pehla mamla saamne aane ke baad Fiji mein 51,632 mamle saamne aaye hain jinmein se 71% mamle Central Division ke
the, 27% mamle Western Division ke aur 2% mamle Eastern aur Northern Division se. 11thOctober 2021, tak saat dino ka average dainik COVID-19 mamle 43 hai.

Mauton par jaankari
Aam taor par maut ka graph darshata hai ki Central aur Western Division mein girawat huwi hai. Sui lagne ke sthar mein badlao se Central aur Western Division mein dainik mamlo ke milaan mein hai. COVID ko mitane ke upayo, badlo aur abadi par nirbhar hai.

Aaj COVID-19 ki wajah se kisi ki maut hone ki report nahi mili hai.

COVID-19 ke liye positive paaye gaye teen maut huwi hai lekin unke doctors kahte hai ki unki maut COVID-19 ki wajah se nahi huwi hai balki joh bimaari unhe pahle huwi thi uski wajah se huwi.

Fiji mein COVID-19 ki wajah se 663 maute ho chuki hai, inme se 661 maute iss saal April me shuru huwe prakop ke baad huwi. Kripya dhyaan de ki clinical teamo ko chanbin karne, classify aur maut ki report dene ke liye samay lagta hai, isiliye chaar dino ka interval diya jaayega taaki maut ki taarikh ko dekhte huwe, saat dino ke average mauton ka hisaab rakha jaayega taaki average ki report se pehle sahi data batora jaaye. Isiliye 12th October tak saat dino ka average dainik COVID-19 maut ek din mein 0.1 hai. Saat dino ka average dainik COVID-19 maut Central Division mein 0.1 hai aur Western Division mein 0.0 hai.

COVID-19 ke liye positive paaye gaye 541 marizon ki maut anye gambheer bimaari ki wajah se huwi joh unhe COVID-19 hone se pahle huwi thi, isi liye COVID-19 ke karan inki maut nahi huwi.

Mahamaari ki Outlook
Pichle saat dino mein COVID ke naye mamle ki sankhya average taor par prati din 39 mamle ho gaye hai yaani ek million logon mein 49 mamle. Jaisa ki pehle Permanent Secretary ne ghoshna kee thi ki dainik mamle ki sankhya ka upyog karke abhi mahamari ke progress ka sanket nahi diya jaa raha hai. Ministry anye sanket jaise ki test positivity, aspataal mein kitne log bharti hai aur kitni kitni logon ki maut huwi par nigraani rakhe huwe hai aur mahamari ke progress ko aank rahe hai.
 
Testing numbers mein girawat hone se, testing numbers prati saptah WHO ke sujhao 1000 population me chaar hai (ya prati saptah 3500 tests) hai. Hum abh samaaj mein Surveillance testing par gaor karenge aur positivity rates rokthaam ke phase ke level tak jaane lage hai.

Aam janta ko salah
Pure che mahine ho chuke hai Viti Levu mein iss mahamari ko shuru huwe. Yeh mahamari Lami se Nausori rokthaam ilaake tak simit thi jo sui lagane ki prakriya aur clinical response ilaako ke bahar tak hi raha hai. Isse Viti Levu ke rokthaam ilaako mein kam mamle, aspatal mein bharti hone aur maute hone ke kam mamle miley. Vanua Levu mein bhi hum samajon mein bimari ko failne se rokne mein kamyab rahe hain aur yogye bade logon ko sui lagane mein safal huwe hai. Vanua levu jaane ke liye hum pratibandho ko dheela kar rahe hai jiske kayi yatri apne ghar par quarantine mein rahe sakte hai aur pehle se rapid antigen tests pre-departure kara sakte hain. Isse jo log yaha Viti Levu mein che mahine se fase hain Vanua Levu apne ghar laut sakte hai. Ministry of Health and Medical Services ke website par aaj Vanua Levu ke safar tak naye protocol chaape jayenge. Hum Viti Levu aur Vanua Levu ke beech aawa-jaahi ko samaanye kar denge jaise hi North me 80% logon ko dusra dose lag jaata hai. North mein abhi 91% logo ko pehla dose aur 70.4% logon ko dusra dose lag chukka hai. 

Ministry of Health and Medical Services North mein pratibandho ko dheela karne par kaam kar rahe hain aur health sewa provision ko remodel kiya gaya hai taaki

1.    Quarantine facility ko mazboot karna.  Hamare paas registration aur paas dene ki prakriya hai jisse dono ghar aur facility-based quarantine ko acchi tarah se dekha ja sake. Hare k yatri ko quarantine samandhi niyam diya jayega aur ismein kisi bhi tarah ka ulanghan hone par dandith kiya jayega.
2.    Tracking aur tezi se samparrk karne, tracing prayaason ko suvidhajanak banane ke liye hamari dekhbhaal par zor dene ke saath hamari samudaayik nigraani ko niyantran charan ke sthar par fir se badhana;
3.    Positive mamle aur kamzor logon ke liye hamari line listing ko mazboot karna;
4.    Dhyaan me rakhna ki joh line list me hai unke liye Clinical outreach ki shamta aur retrieval sewaon ki pahuch badhana;
5.    Clinical Care ke niyam mazoot karna

Ministry of Health aur Medical Services ki Communication team aur hamari multi-agency community engagement team, samajik netaon ke saath milkar kaam kar rahi taaki COVID ke lakshan paaye gaye kamzor logon ki pahchaan ho sake aur unhe jald swaasth dekhbhal mile.

Safar karne ke pratibandh ko dheela karne ki zaroorat hai taaki samajik aur aarthik gatividhi ko sahyog mile kyonki iss saal April se kai log apne ghar se dur hai.  Lekin waapas ghar jaane waale niyam dheela karne hum umeed karte hai ki Viti Levu ke logon duara safar karne se Northern Division ke samajon me COVID-19 ke kuch mamle saamne aa sakte hai. Koshish yahi hai ki log North me unhi jaghon par jaaye jahan zyada logon ko sui lag gayi hai kyonki sui se iss gambheer bimaari se bachne ke alawa jaan bachaai jaa sakti hai. North ke samajon me mamle hone ki umeed hai lekin bhaari sankhya me logon ko sui lagne ki wajah se logon par iss virus ka gambheer asar nahi padega.

North me logon ko yaad dilaya jaata hai ki sui lagwaane ke saath-saath hume COVID suraksha niyamo ka paalan karna chahiye, bandh jaghon par aur bheed me jaane se bache taaki virus ko aur failne se roka jaaye. Bhawish me aur bhi pratibandh tatha lockdown se bachne ke liye aam janta ko bahut hi saodhaan rahne ki zaroorat hai ki weh mili iss azaadi ka galat tarah se maza na le.