HINDI - STATEMENT BY THE PERMANENT SECRETARY FOR HEALTH & MEDICAL SERVICES DR. JAMES FONG - 20.10.21

20/10/2021


Virus failne ki jaankari
Pichle saat dino mein, Central Division mein 181 mamle record huwe hain, 82 mamle Western Division mein, 16 Eastern Division aur 6 Northern Division mein. Rashtriye sthar par Central Division mein kul 71% mamle hain, 27% Western Division mein aur 2% Eastern aur Northern Division mein.

Aakhri update ke baad humne 64 naye mamle record kiye hai jinme se 19/10/2021 ko 39 naye mamle record huwe; 17/10/2021 ko 39 tatha pichle chaubees ghanton mein aaj subha aat baje tak 25 naye mamle saamne aaye.

15th October 2021, tak saat dino ka average dainik COVID-19 mamle 45 hai.
Saptahik incidence rate dikhlata hai ki divisions mein lagataar mamlo mein girawat huwi hai. Iske alawa, Western Division mein incidence rate Central Division mein lagbhag ek tihayi thi aur mamlo ki sankhiya bhi issi tarah ke antar ko darshata hai.

Mauton par jaankari
Yeh curve darshata hai ki Iss saal April mein Divisions mein saptahik taor par 1000 abadi ke milaan mein shuru huwa. Kul milakar Central aur Western Division mein mauton mein girawat huwi hai. Central aur Western Division mein saptahik sthar par incidence samaniye hai aur yeh sambhav huwa hai sui lagane ke karan, COVID upayo ka palan kar kea ur population density ka antar hai.

Fiji mein COVID-19 ki wajah se 663 maute ho chuki hai, inme se 661 maute iss saal April mein shuru huwe prakop ke baad huwi. Kripya dhyaan de ki clinical teamo ko chanbin karne, classify aur maut ki report dene ke liye samay lagta hai, isiliye chaar dino ka interval diya jaayega taaki maut ki taarikh ko dekhte huwe, saat dino ke average mauton ka hisaab rakha jaayega taaki average ki report se pehle sahi data batora jaaye. Isiliye 15th October tak saat dino ka average dainik COVID-19 maut ek din mein 0.1 hai. Saat dino ka average COVID-19 maut ek din mein Central Division mein 0.1 hai aur Western Division mein 0.0 hai. Fatality rate 1.28% hai.

COVID-19 ke liye positive paaye gaye 547 marizon ki maut anye gambheer bimaari ki wajah se huwi joh unhe COVID-19 hone se pehle huwi thi, isi liye COVID-19 ke karan inki maut nahi huwi.

Aspataal mein bharti hone ki jaankaari:
Desh bhar me sabhi aspataal joh COVID-19 ke mariz bharti karte hai mein lagataar mamle aur mauton ki sankhya mein girawat dekhi gayi hai. September ke beech mein Lami-Nausori rokthaam waala ilaaka kholne ke baad aspataal mein bharti hone waalon ki sankhya lagataar gir rahi hai joh sanket deta hai ki COVID sambandhi niyamo ka paalan ho raha hai, population density mein antar aur sui lagane ke dar mein bhi antar dekhe gaye.

Testing: 
19th October ko 834 tests report kiye gaye. Saat dino ka dainik test average taor par 982 tests ek din mein kiye gaye ya 1000 population mein 1.1 tests.

Desh bhar mein pichle saat dino mein average dainik test positivity 3.9% hai joh neeche ki orr jaa raha hai joh WHO ke shifarish 5% se kam hai aur yeh lab testing graph udaharan dekar spasht karta hai jo ankit karta hai ki dainik mamle mein girawat ho rahi hai. Halaki hum zyada khatre waale ilaake mein testing kar rahe hai, hamare mamlon ki sankhya aur test positivity rate lagataar gir rahi hai, jo sanket deta hai ki rokthaam, niyamo ka paalan karne tatha lagataar nazar rakhne se Fiji mein samaaj me virus ko failne par kaabu kiya jaa raha hai. Hum samaaj me faile virus ki sthiti aur anye sanket par nazar rakhi jaa rahi hai.

Mahamari ka outlook:
Pichle saat dino mein COVID ke naye mamle ki sankhya average taor par prati din 37 mamle ho gaye hai yaani ek million logon mein 42 mamle. Jaisa ki pehle Permanent Secretary ne ghoshna kee thi ki dainik mamle ki sankhya ka upyog karke abhi mahamari ke progress ka sanket nahi diya jaa raha hai. Ministry anye sanket jaise ki test positivity, aspataal mein kitne log bharti hai aur kitni kitni logon ki maut huwi par nigraani rakhe huwe hai aur mahamari ke progress ko aank rahe hai.

 Testing numbers mein girawat hone se, testing numbers prati saptah WHO ke sujhao 1000 population me chaar hai (ya prati saptah 3500 tests) hai. Hum abh samaaj mein Surveillance testing par gaor karenge aur positivity rates rokthaam ke phase ke level tak jaane lage hai.

Aam janta ko salah:
Hum Viti Levu aur Vanua Levu mein aawa-jahi ko samaniye karne par kaam kar rahe hai. Savdhani baratni ja rahi hai, jismein prasthan se pehle ek Negative COVID-19 test aur 7 dino ka home quarantine shamil hai. Halaki, COVID-19 duniya ke hare k desh ke har ek samaaj mein pahuch chukka hai. Isiliye, North mein bhi COVID-19 fail sakta hai. Halaki, hamara anumaan hai ki bhaari matra mein sui lagane ke karan Viti Levu mein mamlo ki sankhiya aur gambheer bimari wale mamle ki tulna mein kam hogi.

Sirf Viti Levu mein, Lami se Nausori tak rokthaam ilaake mein lambe samaye tak virus simit tha jisse sui lagne aur containment ilaake ke bahar clinical response pratikriya shamta mein vridhi ho sake. Iske karan se Viti Levu mein containment ilaako mein mamlo mein kami huwi, aspatal mein mareez kam huwe aur mauton mein kami huwi. Hum isi tarah ka trend Northern Division mein bhi dekhna chahte hain, khaas kar ke COVID- suraksha upayo ke palan ko lekar.

COVID-19 ka sabse acha bachao hai sui lagwa lena, jabki yeh aapke sakramit hone ke khatre se bachata hai aur virus ko failne se rokta hai. Par agar aap sakramit ho jate hai, toh yeh sui aapko gambheer tarah se bimaar hone aur maut se bachata hai. Agar aap sui lagwane ke eligible hain aur 15 se 17 saal ke upar hai toh kripya sui lagwa le aur anye surakshit upaye apnaye: band jagho par na jaye, bheed mein na jaye, andar bhi rahe toh mask pehne aur public transport mein bhi mask ka istemaal kare.
North mein logon ko sui lagane ki salah di ja rahi hai. Sui lagwane ke saath, COVID suraksha upayo ka palan aur band jagho par nahi jana hai aur bheed mein nahi rehna hai taaki virus ko failne se roka ja sake. Aage chalkar pratibandho aur lockdowns se bachne ke liye janta ko satark rehna chahiye ki weh kis tarah se iss azadi ka maza lete hain.

Ministry of Health and Medical Services North mein pratibandho ko dheela karne par kaam kar rahe hain aur health sewa provision ko remodel kiya gaya hai taaki
 
  1. Tracking aur tezi se samparrk karne, tracing prayaason ko suvidhajanak banane ke liye hamari dekhbhaal par zor dene ke saath hamari samudaayik nigraani ko niyantran charan ke sthar par fir se badhana;
  2. Positive mamle aur kamzor logon ke liye hamari line listing ko mazboot karna;
  3. Dhyaan me rakhna ki joh line list me hai unke liye Clinical outreach ki shamta aur retrieval sewaon ki pahuch badhana;
  4. Clinical Care ke niyam mazoot karna
Jaise hi sui lagne mein vridhi hoti hai hum North se aane-jane ki yatra ke prabandho ko dekhenge aur unn yatriyon ko mauka denge jo jana chahate hai. Isiliye:
  • Kal se, Tuesday 19th October se Vanua Levu se Viti Levu safar karne ke liye MOHMS se registration number ya pass ki zaroorat nahi hai.
  •  
  • Registration aur MOHMS se paas sirf tab hi lena hoga jab Viti Levu se Vanua Levu jana ho. Aisa iss liye kiya jar aha hai taaki yatra ke liye documented contact tracing, negative pre-depature test aur sui lagane ka status verify ho sake aur Noth team ke liye yatra caseload ko prabandhniye rakha jaye. Yeh sabhi kaam zaroori hai taaki North mein SARS-CoV2 failne se roka jaye. Janta se mang ki ja rahi hai ki pre-depature test tab hi karaye jab aapko registration number mil jaye. Kripya dhya de ki sui lagane mein badhanti huwi hai jiske karan North mein dainik yatra quota badhaya jar aha hai, isiliye hum self-monitored home quarantine kar rahe hai.
  •  
Bahari duipo tak safar mein kuch isi tarah ka badlao hoga jaise hi 2nd dose ke coverage mein 80% log sui laga lete hai, aur puri tarah sui lagne walo ke liye 72 ghante pehle pre-depature test karwana hoga aur duip par saat dino ke liye quarantine karna zaroori hai. Sabhi maritime resorts jo 80% vaccination rate paate hai aur zyada 2nd dose coverage hone ke baad, yatra pratibandho ko puri tarah vaccinated logon ke liye ease kar diya jayega.

Pradhaan mantra ne 10th October ko kaha tha ki hum kisi bhi tarah ke quarantine maang ko dheela karenge jaise hi kayi Fijiwasi Vanua Levu aur bahari duipo mein puri tarah vaccinated honge.  11th November se hum niyamit roop se inter-island yatra kholenge lekin kewal tabhi jab North aur maritime-duipo mein sui lagne ke dar mein lagataar vridhi huwi.