HINDI - STATEMENT BY THE PERMANENT SECRETARY FOR HEALTH & MEDICAL SERVICES DR. JAMES FONG - 23.10.21

23/10/2021


Virus failne ki jaankari:  
Pichle update ke baad 68 naye mamle record huwe hai; unme se 21 naye mamle 21/10/21 ko record huwe aur pichle chaubees ghanton me aaj subha aat baje tak 47 naye mamle record huwe hai.  Iss mahamaari ka curve darshata hai ki iss saal April me prakop shuru hone ke baad, dusre wave me abhi tak 51,907 mamle record huwe hai jabki Central Division mein kul 71% mamle hain, 27% Western Division mein aur 2% Eastern aur Northern Division mein. 

18th October tak hamare rashtriye 7 dino ka rolling average prati din ke 43 mamle jode gaye hai.

Mauton par jaankari: 

2nd August aur 20th October ke beech COVID-19 ki wajah se 10 aur logon ki maut huwi hai. Western Division me 9 mautein huwi jabki Central Division me ek jaan gayi hai. Inn dus logon ki maut ki analysis se pata chala ki inn logon ki umr 45 se 92 saal ke beech the, 56% (n=6) purush the, sabhi ki maut ghar par huwi ya aspataal lejaate samay aur 67% (n=6) logon ko sui nahi lagi thi jabki baaki 33% (n=4) ko sirf ek hi dose laga tha. Jiska matlab hai ki unn logon ki maut nahi huwi jo puri tarah se vaccinated the. August me huwi nau mauton ki report aaj di jaa rahi hai kyonki unke death certificates dene me deri huwi. COVID-19 ke liye positive paaye gaye barah aur marizon ki maut huwi lekin doctors kahte hai ki unki maut COVID se nahi balki anye bimaariyon ki wajah se huwi joh unhe COVID hone se pahle thi. Fiji mein COVID-19 ki wajah se 673 maute ho chuki hai, inme se 671 maute iss saal April mein shuru huwe prakop ke baad huwi. Kripya dhyaan de ki clinical teamo ko chanbin karne, classify aur maut ki report dene ke liye samay lagta hai, isiliye chaar dino ka interval diya jaayega taaki maut ki taarikh ko dekhte huwe, saat dino ke average mauton ka hisaab rakha jaayega taaki average ki report se pehle sahi data batora jaaye. Isiliye 16th October tak saat dino ka average dainik COVID-19 maut ek din mein 0.1 hai. Saat dino ka average COVID-19 maut ek din mein Central Division mein 0.1 hai aur Western Division mein 0.1 hai. 

COVID-19 ke liye positive paaye gaye 559 marizon ki maut anye gambheer bimaari ki wajah se huwi joh unhe COVID-19 hone se pehle huwi thi, isi liye COVID-19 ke karan inki maut nahi huwi.

Mahamari ka outlook:
Pichle saat dino mein COVID ke naye mamle ki sankhya average taor par prati din 40 mamle ho gaye hai yaani ek million logon mein 45 mamle. Jaisa ki pehle Permanent Secretary ne ghoshna kee thi ki dainik mamle ki sankhya ka upyog karke abhi mahamari ke progress ka sanket nahi diya jaa raha hai. Ministry anye sanket jaise ki test positivity, aspataal mein kitne log bharti hai aur kitni kitni logon ki maut huwi par nigraani rakhe huwe hai aur mahamari ke progress ko aank rahe hai.

Testing numbers mein girawat hone se, testing numbers prati saptah WHO ke sujhao 1000 population me chaar hai (ya prati saptah 3500 tests) hai. Hum abh samaaj mein Surveillance testing par gaor karenge aur positivity rates rokthaam ke phase ke level tak jaane lage hai.

Aam janta ko salah: 
Antarastriye Safar 
11th November se 1st December ke beech, Fiji sirf unki permit holders, Fijian passport holders aur lautne waaale niwaasiyon ko swikaar karega joh puri tarah se vaccinated honge jinhe kisi ek Fiji Managed Quarantine facility me teen dino tak quarantine me rahna hoga aur jaane se 72 ghante pahle tatha desh me rahne ke dauraan RT-PCR tests dena hoga. 1st December 2021, Fiji sirf unhi logon ko Travel Partner deshon se yahan aane dega joh puri tarah vaccinated honge tatha desh pahuchkar unhe kam quarantine arrangements ka paalan karna hoga. 

Ministry of Health and Medical Services North mein pratibandho ko dheela karne par kaam kar rahe hain aur health sewa provision ko remodel kiya gaya hai taaki

1.    Tracking aur tezi se samparrk karne, tracing prayaason ko suvidhajanak banane ke liye hamari dekhbhaal par zor dene ke saath hamari samudaayik nigraani ko niyantran charan ke sthar par fir se badhana;
2.    Positive mamle aur kamzor logon ke liye hamari line listing ko mazboot karna;
3.    Dhyaan me rakhna ki joh line list me hai unke liye Clinical outreach ki shamta aur retrieval sewaon ki pahuch badhana;
4.    Clinical Care ke niyam mazoot karna 
Jaise hi sui lagne mein vridhi hoti hai hum North se aane-jane ki yatra ke prabandho ko dekhenge aur unn yatriyon ko mauka denge jo jana chahate hai.

Sui ke Teesre Doses aur Booster Doses
Sui par Strategic Advisory Group of Experts (SAGE) ne sujhao diya hai ki jin logon ka immune system Madhya ya gambheer roop se kamzor hai ko WHO EUL COVID-19 ki sabhi sui ka ek aur dose dene ki zaroorat hai kyonki iski sambhaona kam hai ki weh abhi di gayi sui se surakchit honge aur unhe COVID-19 bimaari pakadne ka khatra kaafi zyada hai. Ministry of Health yogya logon ko teesra dose lagaega.

Booster doses 60 saal se zyada, 18 ya use zyada umr ke logon ke liye hai jinhe koi aisi bimaari hai jisse unhe COVID-19 hone ka khatra hai aur joh log 18 ya use zyada umr ke hai, aisi jagah kaam karte hai jisse unhe khatra hai ko sui lagane ki yojna banayi jaa rahi hai.

COVID suraksha Naukri waali jagah taiyaar karna
Jabki hum aur bhi industries aur kaam waali jagah ke khulne ki taiyaari kar rahe hai toh, Ministry of Health and Medical Services ne sabhi kaam waali jagah aur businesses ko hamari salah par zor diya hai ki weh COVID suraksha niyamo ka paalan karna jaari rakhe inpar nazar rakhe aur unhe sudhaare. Hum sabhi businesses aur kaam waali jagah ko yaad dila rahe hai ki weh abhi ke COVID suraksha niyamo ka paalan karte huwe ventilation hawa ki quality par dhyaan de. Iske scientific saboot badhte jaa rahe hai ki kaam waali jagah par ventilation aur hawa ki quality sudhaarna zaroori hai taaki kaam waali COVID suraksha watawaran banaya jaaye jabki SARS=Cov-2 virus ko failne se rokne ke liye chhoone waali sabhi jagah ko sanitize karne ki zaroorat hai. 

Stithi theek hone par sabhi khidki, darwaaze aur vents kholne se (jisse koi khatra na ho) ya fan aur ducts ka upyog karne ya dono behad zaroori hai. Kaam waali unn jaghon ki pahchaan karne ki zaroorat hai jahan hawa aane jaane ki wevastha kam hai aur kadam utaana chahiye taaki inn ilaakon me taazi hawa aaye. Jahan zyada log kaam karte hai ya kam taazi hawa aane jaane waali jagah par portable air cleaners jinme High-Efficiency Particulate Air (HEPA) filters ko ka upyog karne ka bhaari sujhao diya jaa raha hai. Unn buildings jahan heating, ventilation, aur air conditioning (HVAC) systems hai wahan ispar dhyaan dene ki zaroorat hai ki:

1.    Yeh systems manufacturer ke instructions aur design specification ke tahat operate ho,
2.    Sabhi rozana inspection aur maintenance procedures ka paalan hona chahiye ,
3.    Baahar waali taazi hawa andar jaane me vridhi ki jaaye,
4.    Jahan tak ho sake, ek Minimum Efficiency Reporting Value (MERV) 13 ya usse zyada waale air filters instal kiya jaaye.