HINDI - STATEMENT BY THE PERMANENT SECRETARY FOR HEALTH & MEDICAL SERVICES DR. JAMES FONG - 25.07.21

25/07/2021


Namaste Fiji wasiyon

Fiji ki saat dino ki dainik average mamlon ki sankhiya per million prati din  duniya mein sabse adhik hai. Iska matlab hai ki hamare population ke aadhar par sabse adhik dainik mamle darj kiye gaye hain.Jo hum abhi Fiji mein anubhav kar rahe hai, anye desho ne, saathi ameer desho ne pichle saal iss mahamari ki shuruwat mein anubhav kiya hai. Hum akele nahi hai, atit mein jaise anye desho ko virus ka niyantran karne aur bahar rakhne mein Fiji ki tarah safalta mili thi, abh weh bhaari delta variant ka samna kar rahe hai.

Apne dainik bayano mein hum mamlo aur jitney jaan gayi hain par baatein karte hain. Maansik aur samajik peeda mamlo ki sankhya bahut adhik hai. COVID-19 ke global response ke liye frontline swasthiye karyekarta bahut awashyak hai. Aspatalon mein, clinics aur desh bhar ke gharo mein swasthiye karyekarta mahatwapurn vektigat khatra utha rahe hain. Aisa Fiji ke liye bhi hai. Har kisi ke liye aur har jagha majboot, lachila aur swasthiye pranali banane ke liye yeh sankat wartaman mein hamare mahatwapurn, aathak, Naveen aur bahot kam mahatv ki bhumika ka pradarshan kar raha hai. Weh lambe samaye tak kaam karte hain, parivaar ke saath samaye ka tyag karte hai aur uss tanao ko sehte hai jo iss mahamari ne vektiyon par, peshewaro aur pure swasthiye pranali par dala hai. simit sansadhano ke vatawaran mein swasthiye sewaye pradaan karne ka matlab hai aaram se kisi ki zindagi bacahna. Sewa ko pradaan karte huwe samwedansheel aur sahanubhuti banaye rakhna kabhi adhik mahatwapurn nahi raha.

Aaj dukh ke saath main hamari saathi swasthiye karamchari ke mrityu ki ghoshna karta hoon jinhe hum sab jaante the aur pyar karte the. Wohh 44 saal ki thi aur garvwati thi jab unhe COVID-19 ke liye positive paaya gaya. Durbhagye se, mahila ki garbhawastha se judi anye complications thi. Caesarean section duara bache ka janm huwa taaki bacche ki jaan aur mahila ko bachaya ja sake. Upasthit chikitsao ke sarwoutam  prayaso ke bawajut unki mrityu 21st July ko COVID-19 ke complications ki wajah se ho gayi. Uska baccha theek ho gaya hai aur uski haalat sthir hai. 

Pichle saptoh mein hamare saathi doctor ne bhi COVID-19 ke karan apna dum tod diya aur durbhagye se hum dekh sakte hain ki hamare saathi swasthiye karamchari aur frontliners ko nikat bhawishaye mein gambheer bimari ho sakti hai. Hamari sahanubhuti unn sabhi logon ke saath hai jinhone apne priyejano ko kho diya hai aur jo iss katheen samaye mein apne priyejano ke liye chintit aur bhay me jee rahe hai. Kripya ashuwasth rahe ki inn kashton ne kewal jeewan bachane ke hamare sankalp ko majboot karne ka kaam kiya hai. Ya anye sarkaar ke saathi civil servants ke sankalp ko bhi majboot karne ke liye bhi kaam karta hai. Hamare Community Engagement program ke zariye, mantralaye aur agencies sui ko lane aur COVID se azaad surakshit samaj ko banana mein hamare saath kaam kar rahe hain.

Yeh virus saamaj mein failne se lekar suty ke dauraan hamare swasthiye dekhbhaal karamchariyo ko prabhawit karta hai aur karta rahega. Hum jante hai ki Suva-Nausori mein samaaj me faile virus itne ucche sthar par hai ki ek swasthiye karamchari aspatal mein sakramit hone ke bajaye apne samaj mein faile virus se guzar sakta hai bhale hi weh purn vektigat suraksha upkaran pehne huwe ho. Iss prakop ke karan pichle teen mahino se humne apni swathiye dekhbhaal teamo ko apne bulbule ke containment phase se hata kar mitigation phase strategy  mein kar rahe hai jahan weh vektigat suraksha upayo ko badhane mein aur kam karne par kaam kare rahe hain taaki sambhawit khatre se bachaya ja sake.

Hum apne PPE vitran karyekaram ko fir se organize kiya hai taki hamare paas jo bada stock hai who hamare frontline par sabhi swasthiye dekhbhaal karamchariyo ke liye uplapbd ho khaaskar ke wohh jo Emergency Departments ke Critical Care Units mein kaam karte hai. Ya dekhna ki hamare swasthiye sewa karamchari puri tarah vaccinated ho, PPE upyog mein acha ho aur karyesthal mein PPE anushasan banaye rakhne mein ek dusre ki madad karte ho, iss tarah hum sabhi health facilities mein apne swasthiye karamchariyo ko banaye rakh sakte hai. Abhi tak Fiji mein puri tarah vaccinate huwe kisi ki mrityu nahi huwi hai, hum jante hai ki yehi sabse mahatwapurn tarika hai apne sathiyo ko surakshit rakhne ke liye. PPE ka istemaal sahi roop se Lautoka aspatal ke bandh hone ke samaye pradarshit kiya gaya tha, waha par koi bhi karamchari COVID ke liye positive nahi huwa tha.

Doh din pehle humne jaan bachane tatha adhik shamta ke nirmaan ke liye jo badlao kiye hai ko lekar Vodafone Arena mein press conference kiya tha joh abhi FEMAT hospital hai. Humne clinical care space badhaya hai aur therapeutic interventions ka aagman kiya hai. Hum 165 aur 158 COVID helpline ko badha rahe hai taki hum logon ke anurodho ko madad kar sake. Humne ucche khatre wale mamlo par dhyan dene ke saath phone call aur ghar ke daure ke madhyam se sabhi positive mamlo ki nigrani ki shamta ko badhaya hai. Hum anye sarkari mantralayo aur angencies ko dhanyewaad dete hai jinhone monitoring database ko banane aur monitor process mein hamari sahayata ki hai. Humne CSOs, sena aur naval partners tatha donor agencies ke saath milkar Case Retrieval Capability ko re-organize aur punah nirman kiya hai. Apne samudaye ke kamzor samuho aur gambheer lakshono wale logon mein positive mamlo ki pehchaan karne ke liye apne swabbing screening prayas par fir se dhyan diya hai. Kyunki hum jante hai ki kamzor logon ko isse gambheer bimari hone ka zyada khatra hai aur jaan ki raksha ki dekhbhaal ki zaroorat hai. 

FEMAT aspatal mein humne 70% COVID marizon ko dekhbhaal prapt karne ke baad ghar jaate dekha hai, 20% ko CWM jaate dekha hai, durbhagye se 10% mareez bahut der se aate hai. CWM aspatal mein 60% logon ko gambheer bimari se theek hote dekha hai jinme se kuch ki maut purane bimari ke karan halat bigadne ke karan ho jati hai. CWM ki maternity unit ne June se abh tak COVID-19 ke karib 400 mamle dekhe hai, jinme se 12 mamle bimari ki gambheer awastha mein hain. Teen ko chodkar baki sab theek ho gaye hai. Gambheer COVID-19 bimari se theek hone ka karan yeh hai ki hamein jald iska ilaaj karne ka mauka mila jab kamzor positive mamlo ko jald bharti kiya gaya aur hamein uski nigrani rakhne ka mauka mila ya fir ghar par monitoring program ke istemaal se ya jald huwa.

In prayaso ke bawjood, hum yeh dekh rahe hai ki COVID-19 se kamzor logo ki maut ho rahi hai jo aspatal der se aate hai ya ghar par hi dum tod dete hai. Jab hamari health teamo ne inn marizon ko pehli baar dekha toh inme se kayi gambheer haalat mein the ya fir mar chuke the. Hum yeh mante hai ki agar hamari health teamo ne inhe pehle hi dekh liya hota toh hum inki jaan bacha sakte the. 

Hum jante hain ki kayi parivaar sahas aur dridh sankalp ke saath ghar par apne chahne walo ka dhyan rakh rahe hai. Lekin jo COVID-19 ki gambheer haalat mein hai, ghar par unki dekhbhaal kafi nahi hai. Inn vektiyon ka oxygen level bariki se nigrani ki zaroorat hai, baat oxygen therapy tak bhi pahuch sakti hai. Clinical teams ka stand-by par hona zaroori hai jo unki sthiti tezi se bigadne par dhyan de sake.

Toh kripya, agar aap kisi gambheer COVID-19 lakshano wale ki dekhbhaal kar rahe hai toh jab tak aap ke chahne wale sthir haalat mein hain hamein 165 par call kare.

Western Division mein humne mamlo ko badhte huwe dekha hai. Hum khush hai ki west mein humne 83% logon ko sui ka pehla dose de diya hai aur dusre dose ka coverage bhi achi dar se badh raha hai. Humne Yasawa aur Mamanuca ke maritime ilaako mein bhi doses baatein hai. Hum jaante hain ki yadi hum Western Division mein mamlo mein vridhi hone mein lambe samaye tak rok sakte hai toh hum bahut se gambheer bimariyon aur mauton ko rokne mein saksham honge jo hum Lami se Nausori ke rokthaam ilaako mein dekh rahe hai. Isiliye Somwaar 26th July se yeh nimnlikhit upayo ko lagoo kiya jar aha hai:

1.    Sabhi anawashyak movements ko roka jaye. Jitna ho sake ghar par rahe. Ghar se tab hi nikle agar aapko kaam karne ki anumati di gayi hai, chikitsa karano ya groceries lane ke liye. Isey pura karne ke liye abh Western Division mein curfew shaam 6pm baje se subha 4am baje tak rahega.

2.    Central Division se Western Division tak sabhi movements ko case by case basis par dekha jayega aur zyada prathmikta unko di jayegi jinhone dusre dose ke lagne ke chaudah din baad anumati mangi hai. 

3.    Viti Levu se Northern Division tatha anye samudri duip tak sabhi movements ko case by case basis par dekha jayega aur zyada prathmikta unko di jayegi jinhone dusre dose ke lagne ke chaudah din baad anumati mangi hai. 

Anth me main apni vaccination teams ke prayaso ko badhai de raha  hoon. Ba subdivision mein 110% logon ko sui ka pehla dose laga hai, jabki inmein ganna kataiya aur anye vekti shaamil hai jo Ba laute the. Rewa subdivision ne pehle dose ka 104% pura kiya hai. Nadroga ne pehle dose ka 91% pura kiya hai. Savusavu Town ilaake mein 91% eligible population ko sui ka pehla dose aur 30% logon ko dusre dose diye ja chuke hai. North mein Macuata province abhi 74% pehli dose se aage hai jabki  Cakaudrove aur Bua abhi 60% par hain. Maine khud viber samuho mein vaccination prayaso ka bariki se palan hote dekha hai aur mujhe yakeen hai ki hum mein se kayi log Fiji mein rehne wale sabhi logo ki raksha karne aur age badhne ke liye samudaye ke prayaso ko dil se lenge aur apne parivaro ke sukh suvidha mein wapas jane mein madad karenge. Saath milkar hum kar sakte hai aur saath hum Fiji ko surakshit banayenge. Vishwaas rakhe Fijiwasi.