HINDI - 6PM STATEMENT BY THE PERMANENT SECRETARY FOR HEALTH & MEDICAL SERVICES DR. JAMES FONG - 25.05.21
25/05/2021
Aaj sham che baje (6pm) ke baad COVID-19 ke gyarah (11) naye cases saamne aaye hai.
Kinoya ke ek pariwaar me dus (10) cases paaye gaye hai jo Extra Supermarket waale cluster se linked hai.
Gyarwah(11th) case Samabula cluster yaani case 206 ke saath FICAC me kaam karta tha. Contact tracing ki chanbin chal rahi hai tatha log Suva bhar me chanbin ki umeed kar sakte hai.
Halaki abhi Lami me koi case nahi mila hai, log wahan bhi screening ki umeed kar sakte hai jo ki un ilaakon me hamare community surveillance ko badhaane ka prayaas hai jo cases milne waale ilaake se baahar hai.
Barah (12) mariz aaj theek huwe hai jiska matlab hai ki isolation me 108 active cases hai.
Pichle saal March 19th ko pahla case saamne aaya tha aur abhi tak Fiji me 259 cases report huwe hai, 147 log theek huwe hai jabki chaar logon ki maut huwi hai.
Jo 4000 samples Melbourne, Australia ke doh private laboratories bheje gaye the ke results waapas aa gaye hai tatha koi bhi positive result report nahi huwe hai. Hamare reference lab, Melbourne Diagnostic Unit Public Health Laboratory, Doherty Institute me stith hai jo in results ko verify kar rahe hai.
Pichle saal ki shuruwaat me humne testing shuru ki aur abhi tak kul total 92,821 COVID-19 laboratory tests huwe hai.
Kal total 2496 samples test huwe. Pichle saat dino me har din average taor par 2496 tests huwe. Saat dino me average taor par har din test positivity 0.5% thi aur aakhri din 0.8% thi. Average taor par pichle saat dino me har din prati (per) 1000 population me 2.8 tests huwe the jabki aakhri din prati (per) 1000 population me 2.8 tests huwe the.