Iss teesre laher mein record huwi pahli 138 mauton ne dikhaya hai ki halaki Central Division mein sabse zyada mautein huwi hai, Northern division mein jansankhya (population) ke hisaab se mauton ke rate sabse zyada hai.
Dusra Table: Umar ke hisaab se mautein
Teesre laher mein 138 COVID-19 mauton mein se jin che (6) logon ki maut huwi weh jansankhya (population) ke hisaab se sui lagane ke yogye nahi the (jo barah se kam umar ke hain). Ek analysis se pata chala hai ki 132 mauton ko jab 100,000 logon mein dekha gaya toh puri tarah vaccinated log (jinhe doh doses lage) aur puri tarah vaccinated nahi(jinhe sirf ek dose laga ya ek bhi nahi) badon ka rate Fiji mein 9.5 mautein hai jabki jin logon ko puri tarah sui nahi lagi hai ke maut ka rate 100,000 logon me 176.3 mautein huwi. Iska matlab hai ki iss teersi laher mein puri tarah sui lage bade logon ke milaan mein unn logon ki maut COVID-19 se 18.5 baar zyada rate mein ho rahi hai jinhe puri tarah sui nahi lagi hai. Barah se satrah (12-17) saal ke beech ke jin logon ki maut huwi hai unhe sui nahi lagi thi. Abhi tak booster dose (teesra dose) lag chuke logon ki maut nahi huwi hai.
Nayi mauton ki report
COVID-19 se koi nayi maut ki report nahi di gayi hai.
COVID-19 ki wajah se Fiji mein 834 logon ki maut ho gayi hai. Kripya dhyaan de ki clinical teams duara mauton ki chanbin karne, saabit aur report karne mein samay lagta hai, maut hone ka saat dino ka rolling average jodne ke liye chaar dino ka interval diya jaata hai, joh maut ki taarik par adhaarit hota hai, taaki dhyaan mein rakha jaaye average report hone se pehle data batora jaaye. Isiliye 28
th February 2022 tak saat dino ka average dainik COVID-19 maut ek din mein 0.1 hai jabki ek mamle mein maut hone ka rate 1.29% hai.
COVID-19 ke liye positive paaye gaye 903 marizon ki maut anye gambheer bimaari ki wajah se huwi joh COVID-19 se sambandhit nahi the. Unke doctors ka kahna hai ki unki maut COVID-19 ke kaaran nahi huwi.
Aspataal mein bharti:
Dainik roop se aspataal mein bharti hone waalon ki sakhya me girwat dekhi gayi hai. WHO ke clinical gambheerta ke hisaab se, zyada pratishat, 78% (n=7) COVID-19 mareezo ko bina lakshan ya halke lakshan ke bharti kiya gaya, 11%(n=1) madhyam lakshan ke saamne aate hai aur 11% (n=1) gambheer lakshan jabki koi bhi nazook ki category mein waale badi sankhiya mein logo ko aspatal mein bharti kiya jata hai par samudayo mein zyada prasaran ke karan wehh bhi positive paye jaate hain. COVID-19 ki wajah se aspatal mein bharti hone waale marizon ki sankhya abhi kam hai.
Parikshan:
3
rd March 2022 ko 139 tests report huwe. 2020 se abhi tak 497,869 test huwe. Pichle saat dino ka dainik average test, prati din 177 parikshan tha ya 1000 logon mein 0.2 parikshan.
Rashtriye taor par average dainik test positivity 10.9% hai. Positivity rate zyada hona yeh sanket deta hai ki samaaj mein virus bhaari taor se faila huwa hai.
Aam Janta ko salah:
Leptospirosis, typhoid bukhaar, aur dengue bukhaar
Jaisa ki pehle kaha gaya hai, abhi haal hi ke mausam ki wajah se leptospirosis, typhoid, aur dengue bukhaar ke mamlo mein vridhi huwi hai, jo Fiji ke liye sthanik-samwedi rog hai. Hamein aage ki mausam ki bhi jaankari hai aur haemin anumaan hai ki agle kuch dino mein aur bearish hogi, isiliye, hum jo salah de rahe hai, uska palan hona chahiye jabtak hum apne sarwajanik swasthiye aur clinical pratikriya ko badhana jari rakhenge. Humne leptospirosis ke mamlo mein vridhi dekhi hai, saath hi aspatal ke mamlo aur mauton mein vridhi dekhi hai jo ki iss mausam ka asar hai. Kripya hamari salah ko mane aur apne chahne walo aur khud ko surakshit rakhe.
Leptospirosis
Swaasth Mantralay ke Permanent Secretary aur unke senior advisory managers abhi Ra sub-division ka daura kar rahe hai jahan par leptospirosis ke mamle badh rahe hai.
Yeh ek tez failne waali bimaari hai isi liye abhi tak Fiji me leptospirosis ke 567 mamle saamne aaye hai jabki chaaron divisions me prakop faila huwa hai.
Is baat par gaor kiya gaya hai ki aspataalon me bharti leptospirosis ke shikaar logon ki sankhya badh rahi hai jabki pichli jaankaari 23/02/2022 ke baad tais (23) mautein huwi hai.
Jabki sabhi umar ke logon ko yeh bimaari ho chuki hai, mamle zyada karke 10-39 saal ki umar mein zyada paye jate hain, jahan mahilao ke milaan mein mard zyada hai aur i-Taukei log zyada hai.
Rokthaam
Leptospirosis bacteria insaano tak gayon, suwaro, chuho aur kutte jo sakramit hai ke mutr se failta hai. Yeh bimaari kisi ko bhi ho sakti hai agar aap vyawasaik aur manoranjak khatra uthate hai agar aap sakramit janwaro, mitti, khuchad ya paani ke sampark mein aate hai.
Zaroori rokthaam upaayo mein shaamil hai bahar jaate samaye har waqt pure dhake huwe jute pehnna, bhaad ke paani mein ghumne ya tairna nahi, hamesha saaf pani ka istemaal karna khaaskar ke bhaad ke baad kichad wali jaho par, sabhi bhojan ya peene wali chizo ko dhaake rehna aur chuho se door rakhna. Karyesthal mein zaroori hai ki kitanuyo ko rokne ke liye acchi adat apnaye, suraksha upakaran ka istemaal kare khaas kar ke bhaad ya kichad wali jagho mein jute pehnne rehna.
Hum mata mita aur guardian’s se mang karte hai ki weh apne bacchon ko bhaad wale paani, nadi, nalo mein khlene se roke aur bacchon ko hamesha jute pehhne ko kahe agar weh bahar khel rahe ho.
Lakshan aur Ilaaj
Jald ilaaj se bimaari ke gambheer asar ko kam kiya ja sakta hai. Yadi aapka sampark abhi haal hi ke baadh ya kichad se huwa aur aapko bukhaar, jodo mein dard ya sar dard jaise lakshan hain toh jald hi aspatal jaye. Apki ankhen laal, bhook na lagna, uljhan, ulti ya chakkar aana ya kamzor mehoos wale lakshan bhi ho sakte hain.
Leptospirosis ka ilaaj agar kiya jaye toh antibiotic dawaiyon se kiya ja sakta hai jo doctor duara di jaye. Khatarnaak leptospirosis ke lakshan hain; saans lene mein takleef, khaaste samay khoon nikalna, chati mein peeda, peeli ankhen/chamde, khoon nikalna(aspasht chot), peshaab mein kami, jaagne mein takleef. Gambheer leptospirosis se jaan ka khatra ho sakta hai, agar kisi ko bhi yeh lakshan hai toh jald se aspatal le jaye.
Pratikriya
Leptospirosis ko rokne ke liye, Matralaye ne pehle ek FEMAT team ko Navosa bheja aur abh Ra bhej rahi hai taaki sthaniye medical teams ko samudaye mein logo ko theek karne ke liye madad miley. Aam janta ko jagrukhta failane ka kaam radio, television, print, aur social media duara kiya gaya hai taaki suspected mamlo ko jald swasthiye sewa mil sake. Logon ko logon duara, specialist physicians duara divisional aspatalon mein Clinicians ne bhi apna education session jari kiya hai taaki jald leptospirosis bimari ka pata chale aur jald unka ilaaj ho.
Typhoid bukhaar
Iss saal Typhoid bukhaar ke 44 mamle miley hain. Pichle saal isi dauraan itni hi sankhya me logon ko yeh bimaari huwi thi. Typhoid bukhaar unhi ilaakon me paaye jaate hai jahan peene ke liye saaf paani uplabdh nahi hai. Hum grameen ilaakon aur shaher me informal settlements aur anye ilaake jahan peene ke liye saaf paani uplabdh nahi hai ke niwaasiyon se paani ubaalkar peene ki maang ki jaa rahi hai. Hume lagataar saaf suthra rahne waale niyam ka paalan karte rahna chahiye jaise ki saabun-paani se haath dhote rahna khaas karke toilet jaane ke baad aur bhojan karne ya banane se pahle.
Dengue bukhaar
Iss saal abhi tak Dengue bukhaar ke 633 mamle miley hai jabki saal ke iss samay itni sankhya me logon ko yeh bimaari hone ki sambhaona thi.
Hum sabhi se mange karte hai ki machar paida karne wali sthaan jaise aapke ghar ke bahar khaali bartan jisme pani bhar sakta hai isey hataye aur tyres ko bhi. Khud ko macchar ke kaatne se bachaye, mosquito screens ya repellents ka istemaal kare.
Sui Lagwana
4
th March tak 105,295 logon ne bosster doses lagwa liye gaye hai. Aam janta ko salaah di jaa rahi hai ki weh apna COVID-19 sui ka dursa dose lagne ke lagbhag paanch mahine ke andar booster dose lagwa sakte hai.Bade logo ke booster doses ke roop me dono Moderna aur Pfizer sui uplabdh hai.
Swaasth Mantralay duniya bhar mein faile data ke adhaar par bimaari pakadne se pahle cchoot dene waali salaah par lagaataar gaor kar raha hai.
Pfizer vaccine ke stock ke adhaar par hum bacchon aur badon ko doh doses aur booster dose ke liye Pfizer ka istemaal karenge.
Antarastriye Safar ka samarthan karna
Wohh niyam hatane ki yojna hai jahan Travel Partner deshon se aane waale yatri jinhe puri tarah se sui lag chuki hai ko teen dino tak hotel me rahna padta hai.
Jabse Travel Partner deshon ke liye seema ya borders khule hai tabse travel partner deshon se aane waale yariyon ko Fiji me do din rukne ke baad ek in-country test dena hoga. Iss zaroorat ka samarthan karne ke liye teen dino ke liye hotel me rukne waali zaroorat ko aniwarye kiya gaya taaki log testing se naa bach sake aur dhyaan me rakha jaaye ki test me positive paaye jaane waale yatriyon ko jald dhoonda jaaye. Saaf taor se kaha jaaye toh teen dino tak ek Care Fiji Commitment (CFC) hotel me rukna koi quarantine nahi tha. Hotel me rukne ki suvidha hai taaki desh me aane ke do din baad yatriyon ka parikshan ho sake.
Humne gaor kiya hai ki jabki kai deshon ne yatriyon ko zapt karne waale sabhi niyam hata diye hai, desh me testing waali shartein jaari hai. Isko dhyaan me rakhte huwe hum desh bhar me aur bhi testing sites rakhne ka samarthan kar rahe hai jahan yaatri Fiji aane se pahle testing ke liye booking kara sakte hai jiske liye unhe hotel me rahne ki zaroorat nahi hogi. Hum Ministry of Trade aur Tourism tatha Ministry of Economy ke saath milkar antim charan me kaam kar rahe hai taaki private entitites ko yaatriyon ko in-country testing karne ki swikriti di jaaye. Inn private entities ko dhyaan me rakhna hoga ki test upladh rahe aur parinaam Swaasth Mantralay ke adhikaari ko diya jaaye. Unhe yeh bhi report karne ki cchoot hogi ki koi yaatri zaroori testing karne se mana kar raha hai. Agar koi yaatri test dene se mana karega toh unhe kanooni taor se saza di jaayegi.
Non-Travel Partner Deshon ke Status ka lagataar Review
Yeh prayaas Ministry of Commerce, Trade, Tourism aur Transport, tathaMinistry of Economy (COVID-19 Risk Mitigation Taskforce) duara sanchalit ho raha hai. COVID-19 Failne ke Data (mamle, aspataal me bharti aur mauton ke adhaar par Gair-Travel partner status ko nirdhaarit karke inhe Travel Partner status me badla jaata hai. COVID-19 Community Surveillance data (1000 logon me positivity rate), aur prakop ka pata lagane ki shamta (Genomic sequence capability tak pahuch). Iss link par Travel partner deshon ki ek list di gayi link par upladh hai: https://www.mcttt.gov.fj/home/traveltofiji/international-travel/#b