HINDI - STATEMENT BY THE PERMANENT SECRETARY FOR HEALTH & MEDICAL SERVICES DR. JAMES FONG - 18.10.21

18/10/2021


Sui lagane ki jaankari
Jaisa ki pehle kaha gaya tha, Pehla dose 95% se aage hai, isspar ek jaanch jaari hai jiske baad kuch badlao honge. Pehle dose ka coverage rate aaj adjust kiya gaya hai taaki jaach ko dikhaya jaye.

Virus failne ki jaankari
Aakhri update ke baad humne 146 naye mamle record kiye hai jinme se 16/10/2021 ko 85 naye mamle record huwe; 17/10/2021 ko 39 tatha pichle chaubees ghante me aaj subha aat baje tak 22 naye mamle saamne aaye. 

Iss mahamaari ka curve darshata hai ki Iss saal April mein shuru huwa. Pichle saal March mein desh ka pehla mamla saamne aane ke baad Fiji mein 51,777 mamle saamne aaye hain jinmein se 71% mamle Central Division ke the, 27% mamle Western Division ke aur 2% mamle Eastern aur Northern Division se. 14thOctober 2021, tak saat dino ka average dainik COVID-19 mamle 43 hai.

Mauton par jaankari
Aam taor par Central aur Western Division mein ho rahi mauton me girawat huwi hai. Sui lagne ke sthar mein badlao se Central aur Western Division mein dainik mamlo ke milaan mein hai. COVID ko mitane ke upayo, badlo aur abadi par nirbhar hai.

Aaj COVID-19 ki wajah se kisi ki maut hone ki report nahi mili hai.

Fiji mein COVID-19 ki wajah se 663 maute ho chuki hai, inme se 661 maute iss saal April me shuru huwe prakop ke baad huwi. Kripya dhyaan de ki clinical teamo ko chanbin karne, classify aur maut ki report dene ke liye samay lagta hai, isiliye chaar dino ka interval diya jaayega taaki maut ki taarikh ko dekhte huwe, saat dino ke average mauton ka hisaab rakha jaayega taaki average ki report se pehle sahi data batora jaaye. Isiliye 14th October tak saat dino ka average dainik COVID-19 maut ek din mein 0.1 hai.

COVID-19 ke liye positive paaye gaye 547 marizon ki maut anye gambheer bimaari ki wajah se huwi joh unhe COVID-19 hone se pahle huwi thi, isi liye COVID-19 ke karan inki maut nahi huwi.

Mahamaari ki Outlook
Pichle saat dino mein COVID ke naye mamle ki sankhya average taor par prati din 45 mamle ho gaye hai yaani ek million logon mein 50 mamle. Jaisa ki pehle Permanent Secretary ne ghoshna kee thi ki dainik mamle ki sankhya ka upyog karke abhi mahamari ke progress ka sanket nahi diya jaa raha hai. Ministry anye sanket jaise ki test positivity, aspataal mein kitne log bharti hai aur kitni kitni logon ki maut huwi par nigraani rakhe huwe hai aur mahamari ke progress ko aank rahe hai.
 
Testing numbers mein girawat hone se, testing numbers prati saptah WHO ke sujhao 1000 population me chaar hai (ya prati saptah 3500 tests) hai. Hum abh samaaj mein Surveillance testing par gaor karenge aur positivity rates rokthaam ke phase ke level tak jaane lage hai.

Aam janta ko salah
North Safar karne ka update
Hum Viti Levu aur Vanua Levu ke beech aawa-jaahi ko samanye karne ki prakriya ko jaari rakhe huwe hai. Abhi safar karne ka mauka tabhi diya jaata hai jab ek repatriation number ke liye registration hota hai aur ek MOHMS traval pass diya jaata hai.  North mein abhi 91.8% logo ko pehla dose aur 75.1% logon ko dusra dose lag chuka hai. Registration aur MOHMS pass prakriya jaari rakha jaayega jahan tak Viti Levu se Vanua Levu tak safar karne ki baat hai taaki dhyaan me rakha jaaye ki logon ke safar ko contact tracing, ek negative pre-depature test aur kitni sui lagi hai ki jaanch ho sake tatha North team safar karne waale logon ki sankhya ko sambhaal sake. Yeh sabhi kaaran North me Sars-CoV2 se bachne aur ise failne se rokne ke liye bahut zaroori hai. Aam janta ko salaah di rahi hai ki weh apna pre-departure test tabhi karaye jab unka registration number aapko mil jaaye. Iss baat par bhi dhyaan de ki logon ko sui lagne ki sankhya me vridhi ko dekhte huwe, har din North jaane waalon ki sankhya badaai jaa rahi hai tatha hum khud ghar par quarantine par nigraani karne par badlao kar rahe hai.

Ministry of Health and Medical Services North mein pratibandho ko dheela karne par kaam kar rahe hain aur health sewa provision ko remodel kiya gaya hai taaki

1.    Quarantine facility ko mazboot karna.  Hamare paas registration aur paas dene ki prakriya hai jisse dono ghar aur facility-based quarantine ko acchi tarah se dekha ja sake. Hare k yatri ko quarantine samandhi niyam diya jayega aur ismein kisi bhi tarah ka ulanghan hone par dandith kiya jayega.
2.    Tracking aur tezi se samparrk karne, tracing prayaason ko suvidhajanak banane ke liye hamari dekhbhaal par zor dene ke saath hamari samudaayik nigraani ko niyantran charan ke sthar par fir se badhana;
3.    Positive mamle aur kamzor logon ke liye hamari line listing ko mazboot karna;
4.    Dhyaan me rakhna ki joh line list me hai unke liye Clinical outreach ki shamta aur retrieval sewaon ki pahuch badhana;
5.    Clinical Care ke niyam mazoot karna

Ministry of Health aur Medical Services ki Communication team aur hamari multi-agency community engagement team, samajik netaon ke saath milkar kaam kar rahi taaki COVID ke lakshan paaye gaye kamzor logon ki pahchaan ho sake aur unhe jald swaasth dekhbhal mile.

Safar karne ke pratibandh ko dheela karne ki zaroorat hai taaki samajik aur aarthik gatividhi ko sahyog mile kyonki iss saal April se kai log apne ghar se dur hai.  Lekin waapas ghar jaane waale niyam dheela karne hum umeed karte hai ki Viti Levu ke logon duara safar karne se Northern Division ke samajon me COVID-19 ke kuch mamle saamne aa sakte hai. Koshish yahi hai ki log North me unhi jaghon par jaaye jahan zyada logon ko sui lag gayi hai kyonki sui se iss gambheer bimaari se bachne ke alawa jaan bachaai jaa sakti hai. North ke samajon me mamle hone ki umeed hai lekin bhaari sankhya me logon ko sui lagne ki wajah se logon par iss virus ka gambheer asar nahi padega.

North me logon ko yaad dilaya jaata hai ki sui lagwaane ke saath-saath hume COVID suraksha niyamo ka paalan karna chahiye, bandh jaghon par aur bheed me jaane se bache taaki virus ko aur failne se roka jaaye. Bhawish me aur bhi pratibandh tatha lockdown se bachne ke liye aam janta ko bahut hi saodhaan rahne ki zaroorat hai ki weh mili iss azaadi ka galat tarah se maza na le.

COVID-19 Endemic:
Ek bimaari endemic ban jaati hai jab umeed hai ki wohh samaaj me hamesha uplapdh rahegi. Kuch bimaari Fiji me endemic ban jaati hai jaise ki dengue fever aur sardi. Yeh bimaari jo samaaj me rahti hai ek prakop ban jaati hai jab uski sankhya umeed se zyada badh jaati hai. Yeh tay karne ke baad ki COVID-19 bimaari ka sthar kitna hona chahiye jisse ki aur niyam laagu kiye jaaye, kyonki COVID-19 aisi bimaari hai jiska prakop sui se kam hota hai aur sui aise samaaj me gambheer bimaari aur maut se bachaati hai jahan bhaari sankhya me logon ko sui lagi hai, yeh seema mamlon ki sankhya se zyada ho.

Ek bimaari jo samaaj me har dum logon ko hoti hai (jaise ki sardi) ka asar bahut kam aise logon par padta hai jinhe aspataal me bharti hone ya jaan jaane ka khatra ho, health system par kam asar padega aur intervention ki zaroorat kam hogi. Isi liye hum kuch sanket par nigraani rakhe huwe hai jaise ki mamle, test positivity, aspataal me bhari hone aur maut hone.