HINDI - STATEMENT BY THE PERMANENT SECRETARY FOR HEALTH & MEDICAL SERVICES DR. JAMES FONG - 21.03.22

21/03/2022


Virus failne ki jaankaari:
Pichli jaankaari ke baad humne 18 naye mamle record kiye hai jinme se chaar naye mamle 19/03/2022 ko record huwe,9 naye mamle 20/03/2022 ko record huwe, jabki pichle chaubees ghanton mein aaj subha aat baje tak panch naye mamle record huwe hai.
 
Joh 18 mamle record huwe hai unn mein se 15 mamle Central Division mein record huwe; doh mamle Western Division mein, ek mamla Northern Division mein jabki Eastern Division mein koi bhi mamla record nahi huwa hai.
 
Fiji mein kul 64,257 mamle record huwe hain jinme se Central Division mein kul  68% mamle, 27% mamle Western Division ke, 3% mamle Northern Division ke aur 2% Eastern Division ke hai.
 
Pichle saat dino mein 17th March tak, average chaar dainik mamle record huwe hai.
 
Mautein:
Yeh curve Division ke hisaab se pichle saal May se saptah ke hisaab se mauton ki jaankaari deta hai. December 2021 se isme badhanti huwi joh January 2022 ke madh tak raha. Teesre laher ki shuruwaat December 2021 ke madh ya ant mein huwi. (Dhyan de: ki pichle do saptah ki aur shayad report honeke baad maut hone wale graph mein vridhi ho sakti hai).
 
Teesre wave mein mauton ki jaanch
Table 1: Division ke hisaab se mauton ke rates
Division Kul COVID Mautein 100,000 Logon me mautein
Central 61 15.4
Western 44 12.3
Northern 28 20.0
Eastern 5 13.0

Iss teesre laher mein record huwi pahli 138 mauton ne dikhaya hai ki halaki Central Division mein sabse zyada mautein huwi hai, Northern division mein jansankhya (population) ke hisaab se mauton ke rate sabse zyada hai.
 
Dusra Table: Umar ke hisaab se mautein
Umar ke Group Kul Mautein 100,000 logon me mautein
0 – 9 6 3.3
10 - 19 2 1.3
20 – 29 3 2.1
30 – 39 4 2.9
40 – 49 6 5.4
50 – 59 18 19.8
60 – 69 27 51.9
70 - 79 42 187.5
80 - 89 23 408.8
90 - 99 5 961.5

Iss teesri laher mein huwi 138 mauton mein jab 100,000 jansankhya (population) ke hisaab se mauton ka rate joda gaya toh pachaas aur usse zyada umr ke logon ki maut zyada huwi. Unees (19) saal se kam umar ke group mein aat bacchon ki maut huwi jahan aat me se saat bacchon ko pahle se koi gambheer bimaari thi aur ek bacche ko pahle se koi gambheer bimaari nahi thi.
 
Teesra Table: Sui lagne ki awastha se huwi Mautein
Umar
Samooh
Kul COVID
mautein
Kul kitne logon ko
Sui lagi/Sui nahi lagi
Sui lage 100,000
logon me Mautein
Sui lagna baaki
100,000 logon me
Mautein
>18 129 55/75 9.4 175.4
15 - 17 1 0/1 0 6.6
12 - 14 1 0/1 0 2.5

Teesri laher mein 138 COVID-19 mauton mein se jin che (6) logon ki maut huwi weh jansankhya (population) ke hisaab se sui lagane ke yogye nahi the (jo barah se kam umar ke hain). Ek analysis se pata chala hai ki 133 mauton ko jab 100,000 logon mein dekha gaya toh puri tarah vaccinated log (jinhe doh doses lage) aur puri tarah vaccinated nahi(jinhe sirf ek dose laga ya ek bhi nahi) badon ka rate Fiji mein 9.6 mautein hai jabki jin logon ko puri tarah sui nahi lagi hai ki maut ka rate 100,000 logon me 190.5 mautein huwi.  Iska matlab hai ki iss teersi laher mein puri tarah sui lage bade logon ke milaan mein unn logon ki maut COVID-19 se 18.5 baar zyada rate mein ho rahi hai jinhe puri tarah sui nahi lagi hai. Barah se satrah (12-17) saal ke beech ke jin logon ki maut huwi hai unhe sui nahi lagi thi. Abhi tak booster dose (teesra dose) lag chuke logon ki maut nahi huwi hai.
 
Nayi mauton ki report
COVID-19 se koi maut hone ki report nahi di gayi hai.
 
COVID-19 ki wajah se Fiji mein 834 logon ki maut ho gayi hai. Kripya dhyaan de ki clinical teams duara mauton ki chanbin karne, saabit aur report karne mein  samay lagta hai, maut hone ka saat dino ka rolling average jodne ke liye chaar dino ka interval diya jaata hai, joh maut ki taarik par adhaarit hota hai, taaki dhyaan mein rakha jaaye average report hone se pehle data batora jaaye. Isiliye March 17th  2022 tak saat dino ka average dainik COVID-19 maut ek din mein 0.0 hai jabki ek mamle mein maut hone ka rate 1.29% hai.
 
COVID-19 ke liye positive paaye gaye 913 marizon ki maut anye gambheer bimaari ki wajah se huwi joh COVID-19 se sambandhit nahi thi. Unke doctors ka kahna hai ki unki maut COVID-19 ke kaaran nahi huwi.
 
Aspataal mein bharti:
Dainik roop se aspataal mein bharti hone waalon ki sakhya mein girwat dekhi gayi hai. WHO ke clinical gambheerta ke hisaab se, zyada pratishat, 100% (n=2) COVID-19 mareezo ko madh ki category mein aate hai aur koi bhi nazook ki category mein nahi aata hai. Badi sankhiya mein logo ko aspatal mein bharti kiya jata hai par samudayo mein zyada prasaran ke karan wehh bhi positive paye jaate hain. COVID-19 ki wajah se aspatal mein bharti hone waale marizon ki sankhya abhi kam hai.
 
Parikshan: 
20th March 2022 ko 121 tests report huwe. 2020 se abhi tak 503,277 test huwe. Pichle saat dino ka dainik average test, prati din 117 parikshan tha ya 1,000 logon mein 0.1 parikshan.
 
Rashtriye taor par average dainik test positivity 4.9% hai jo WHO ki shifarish 5% ke daire mein hai.
 
Aam Janta ko salah:
COVID-19 Sui
Vishwa sthar par WHO ne salah di hai ki mahamari ka yeh kathin pal bahut jald khatam ho sakta hai par ye hiss baat par nirbhar karta hai ki hum kitni jaldi anye karko ke beech apne desh ke 70% abadi ko puri tarah sui lagane ke lakshaye ko pura karte hai. Europe, China, New Zealand, aur Australia mein COVID ke mamle badh rahe hai. Pichle kuch saptoh mein, UK aur anye desh jaise Europe, Germany, France, aur Switzerland naye prakop ka samna kar rahe hai.  Lagbhag 12 desh, Finland se Greece mein naye mamle mil rahe hain, inme jana mana Austria bhi hai jo mahamari ke charam se adhik hai aur Finland pichle saptah se 85% vridhi kar raha hai. Inme se kayi desh aspatal mein bharti ke mamlo mein vridhi kar raha hai.
 
Jabki humne naya prakop nahi dekha hai, lekin aane wale mahino mein iski ummeed ki ja sakti hai. Acchi tarah se likhit extensive animal reservoirs aur manushyo ke liye spillover ke mamle hain, Vishwa sthar par badi sankhiya mein immunocompromised log hain jinme virus jald se guzar sakta hai aur vishwa bhar mein virus ko rokne ka prayas bhi.
 
COVID abh Fiji mein hamesha ke liye rahega, aur iske ubharne ka khatra bhi jinhe sui nahi lagi hai, aur jinka immunity kamzor hai tatha wohh jinhone abhi tak booster dose nahi lagwaya hai. Khaas kar ke, hamare beech ke kamzor log jo gambheer tarah se bimar ho sakte hai ya unki mrityu ho sakti hai(agar unhe sui lag bhi chuki hai) unka milaan agar unn logo se kare jinhe sui nahi lagi hai. weh bhi, joh kamzor nahi hai par yaha waha jaate rehte hai(yuva aur bacche) yeh anye logo tak bimari faila sakte hai. Aane wale general elections, se hum aisa ummeed kar sakte hai, jaha abaadi ke mel jhol ko nahi roka ja sakta.
 
Hamara 12 saal se upar ke sui lagane ka coverage 87% hai aur hamare paas hamari puri abaadi ke liye sankraman ke baad raksha hai. Khair, jabki yeh acchi baat hai, durbhagya se, suraksha ke mamle mein;
 
Hamein ummeed hai ki dono doses ke baad immunity ki shamta kam hone ke saath saath sakramit hone se baad samaye ke saath isme kami aati hai.
 
Hamara booster dose lane ka program bahut dheema hai.
 
21st March tak 114,144 logon ne bosster doses lagwa liye gaye hai. Aam janta ko salaah di jaa rahi hai ki weh apna COVID-19 sui ka dursa dose lagne ke lagbhag paanch mahine ke andar booster dose lagwa sakte hai.Bade logo ke booster doses ke roop me dono Moderna aur Pfizer sui uplabdh hai.
 
Hamare abhi ke booster kariyekram me dheemapan aaya hai kyonki anye bimaariyan jaise ki leptospirosis, typhoid, dengue bukhaar, aur influenza ke mamle badh rahe hai jispar zyada dhyaan diya jaa raha hai.Aam janta ko yaad dilaya jaa raha hai ki weh booster sui ke doses lagwaaye jabki har din MOH ke webpage par sui lagane waali jagah ki jaankaari di jaati hai.
 
Haal hi mein aise sabot miley hai ki 12 se 18 saal ke bacchon ko sui lagane se pure samudaye ke logo ko suraksha milti hai. Toh barabari ke muddo ko dekhte huwe, humne teams to adesh diya hai ki weh health facilities mein wapas jaye aur lakshit logo ko booster program mein saamil kare wohh jo kamzor hain aur shaamil hona chahte hai aur hum 12-18 saal ke bachhon par school vaccination program ke zariye kendrit hain. Iske alawa, hum bal chikitsa sui tak pahuch prapt karne ke liye ek rasta kholne ke kareeb hain.
 
Hum duniya bhar mein failaaye data ke adhaar par lagataar bimaari se bachne waale saboot par gaor karte rahenge. Lekin jabtak hume bimaari hone se pahle chhoot ki jaankaari nahi milti, Ministry of Health sui lagne waali sankhya se hamari suraksha ke sthar ka pata karega.
 
Pfizer sui jabki uplabdh hai toh aise me bacche aur badon ko booster dose ke roop me inka upyog karna jaari rakha jaayega. 
 
Influenza
Influenza ke mamle badhne se outpatient dekhhaal ki chamta par asar pada hai. COVID-19 sui ki zaroortein poori karne ka prayaas jabki jaari hai toh aise me LTDD mamle me bhaari vridhi dekhi jaa rahi hai. Isi wajah se swaasth dekhbhaal, khaas karke outpatient suvidhaon par bhaari boj pad raha hai.
 
Mahamaari se pahle Fiji me sardi-zukhaam ka mausam January me shuru hokar May/June mahine me khatm hota tha. Lekin 2020 aur pichle saal logon me influenza me bhaari girawat dekhi gayi, jabki aisa hi anye deshon me dekha gaya. Aisa ho sakta hai ki COVID-19 ke liye joh niyam apnaye jaa rahe the wohh saans sambandhi virus jinme influenza bhi shaamil hai ko kam karne me upyog kiye jaayenge. Abhi sardi-khaasi ke mamle me vridhi, mahamaari aane se pahle sardi khaansi ke mausam me jitney logon ko bimaari hoti thi ke sthar tak pahuch gaya hai lekin yeh bhi ho sakta hai ki haalhi ke saalon me influenza ke mamle me girawat huwi hogi jisse samaaj me chhoot me kami huwi hogi aur sardi-khaansi ke samaanye mausam ke milaan me zyada log bimaar ho rahe hai.
 
Paanch saal se kam umr ke bacche aur buzurgon ko gambheer influenza se khatra ho sakta hai. Humne aam janta ke liye https://www.health.gov.fj/influenza/par kuch salaah publish kiya hai ki kaise log apne aur apne bacchon ko sardi-khaasi se apne aap ko bacha sakta hai aur koun-koun se lakshan par unhe gaor karna hai.
 
Logon ko der tak intaar na karna pade isi wajah se Ministry kuch niyamo ka paalan karte huwe aur bhi suvidhaen kholna chahti hai, sewa ke ghante badhane aur outpatient sewaon ko sudhaarne par kaam kar raha hai. Humne haalhi me dekha hai ki hamare staff joh COVID-19 ke dusri aur teesri laher ki wajah se chutti nahi le paaye the abh chutti se laut rahe hai tatha sardi zukhaam ke mamle badhne se weh sick leave se bhi laut rahe hai. Humne LTDD ka saamna karne aur sui ki zaroorat ka saamna karne ke liye apne outreach kariyekram me kuch badlao kiye hai taaki health centres me outpatient ki sewa pradaan karne waale karamchaari ko kuch aaraam mile aur sewaon me sudhaar kiya jaaye.
 
Leptospirosis, typhoid, aur dengue bukhaar
Jaisa ki pehle kaha gaya hai, abhi haal hi ke mausam ki wajah se leptospirosis, typhoid, aur dengue bukhaar ke mamlo mein vridhi huwi hai, jo Fiji ke liye sthanik-samwedi rog hai. Hamein aage ki mausam ki bhi jaankari hai aur haemin anumaan hai ki agle kuch dino mein aur bearish hogi, isiliye, hum jo salah de rahe hai, uska palan hona chahiye jabtak hum apne sarwajanik swasthiye aur clinical pratikriya ko badhana jari rakhenge. Humne leptospirosis ke mamlo mein vridhi dekhi hai, saath hi aspatal ke mamlo aur mauton mein vridhi dekhi hai jo ki iss mausam ka asar hai. Kripya hamari salah ko mane aur apne chahne walo aur khud ko surakshit rakhe.
 
Leptospirosis
Rokthaam
Leptospirosis bacteria insaano tak gayon, suwaro, chuho aur kutte jo sakramit hai ke mutr se failta hai. Yeh bimaari kisi ko bhi ho sakti hai agar aap vyawasaik aur manoranjak khatra uthate hai agar aap sakramit janwaro, mitti, khuchad ya paani ke sampark mein aate hai.
 
Zaroori rokthaam upaayo mein shaamil hai bahar jaate samaye har waqt pure dhake huwe jute pehnna, bhaad ke paani mein ghumne ya tairna nahi, hamesha saaf pani ka istemaal karna khaaskar ke bhaad ke baad kichad wali jaho par, sabhi bhojan ya peene wali chizo ko dhaake rehna aur chuho se door rakhna. Karyesthal mein zaroori hai ki kitanuyo ko rokne ke liye acchi adat apnaye, suraksha upakaran ka istemaal kare khaas kar ke bhaad ya kichad wali jagho mein jute pehnne rehna.
 
Hum mata pita aur guardian’s se mang karte hai ki weh apne bacchon ko bhaad wale paani, nadi, nalo mein khlene se roke aur bacchon ko hamesha jute pehhne ko kahe agar weh bahar khel rahe ho. 
 
Lakshan aur Ilaaj
Jald ilaaj se bimaari ke gambheer asar ko kam kiya ja sakta hai. Yadi aapka sampark abhi haal hi ke baadh ya kichad se huwa aur aapko bukhaar, jodo mein dard ya sar dard jaise lakshan hain toh jald hi aspatal jaye. Apki ankhen laal, bhook na lagna, uljhan, ulti ya chakkar aana ya kamzor mehoos wale lakshan bhi ho sakte hain.
 
Leptospirosis ka ilaaj agar kiya jaye toh antibiotic dawaiyon se kiya ja sakta hai jo doctor duara di jaye. Khatarnaak leptospirosis ke lakshan hain; saans lene mein takleef, khaaste samay khoon nikalna, chati mein peeda, peeli ankhen/chamde, khoon nikalna(aspasht chot), peshaab mein kami, jaagne mein takleef. Gambheer leptospirosis se jaan ka khatra ho sakta hai, agar kisi ko bhi yeh lakshan hai toh jald se aspatal le jaye.
 
FEMAT outbreak response teams joh Navosa Subdivision aur Ra Subdivision ka daura kar rahi thi reports ne dikhaya hai jab marizon ka jald dekha jata hai aur jald ilaaj kiya jata hai, mareez theek ho kar ghar jaate hai aur aspatal mien bharti nahi karna padta. Isse bimari ke khatre aur mauton mein kami aati hai.  Toh hum unse agra karte hai joh ghar par hai aur bimaar hain, jald ilaaj ke liye aaye taaki aap jald apni bimari se theek ho.
 
Typhoid bukhaar
Typhoid bukhaar unhi ilaakon me paaye jaate hai jahan peene ke liye saaf paani uplabdh nahi hai. Hum grameen ilaakon aur shaher me informal settlements aur anye ilaake jahan peene ke liye saaf paani uplabdh nahi hai ke niwaasiyon se paani ubaalkar peene ki maang ki jaa rahi hai. Hume lagataar saaf suthra rahne waale niyam ka paalan karte rahna chahiye jaise ki saabun-paani se haath dhote rahna khaas karke toilet jaane ke baad aur bhojan karne ya banane se pahle.
 
Dengue bukhaar
Hum sabhi se mange karte hai ki macchar paida karne wali sthaan jaise aapke ghar ke andar ya bahar khaali bartan jisme paani bhar sakta hai isey hataye jinme tyres, flower vases aur pot plant ke base bhi shaamil hai., Apne ghar me mosquito screens ya repellents ka upyog karen aur khud ko macchar ke kaatne se bachaiye.