HINDI - STATEMENT BY THE PERMANENT SECRETARY FOR HEALTH & MEDICAL SERVICES DR. JAMES FONG - 21.07.21

21/07/2021


Namaste.

Humne dekha hai ki har saptah, saat dino ke average mamle badhte jaa rahe hai jabki pichle chaubees (24) ghanton me 1,091 naye mamle saamne aaye hai. Jabki abhi mamle Viti Levu me hi rokkar rakha gaya hai khaas karke Lami-Nausori ilaake me lekin pichle hafte dekha gaya ki Western Division me bhi mamle badh rahe hai.

COVID-19 SE MAUTE 
Chaudha (14th) July se bees (20th) July ke beech ikkees (21) logon ki maut COVID-19 ki wajah se huwi hai. Inme se doh maute garbwati mataon ki huwi hai. Dono mahilaen apne ghar par COVID jaise lakshan lekar bimaar thi jiske baad weh saans lene takleef ki wajah se health facilities gayi.

Dono mamlon me physicians ne emergency caesarean operations karne ka faisla kiya aur mataon ki dekhbhaal ki. Dukh ki baat ki kai koshisho ke baad bhi, dono mataon ki maut ho gayi. Lekin jald se kadam utaane ki wajah se dono shishu ki jaan bach gayi. Kisi bhi waqt aisi mataon ki maut hona ek dukhad ghatna hai, lekin COVID-19 ki wajah se mataon ka maut hona sanket deta hai ki yeh prakop kitna gambheer hai. 

Iss badalti stithi ko dekhte huwe hamari teame chaubeeson ghante kaam kar rahi hai taaki unn logon ki jaan bachane par zyada dhyaan diya jaaye jinhe COVID-19 ke gambheer asar ka khatra hai taaki logon ko maut ke mooh me jaane se rokne ke alawa, hamare buzurgon tatha gambheer bimaari ke shikaar aur garbwati mataon ko suraksha pradaan karna shaamil hai. Inn badlao me shaamil hai hamari testing sewaon me badlao, home quarantine guidance, taaki dhyaan me rakha jaaye ki hum unn logon ki jaan bachaane waali dekhbhaal kar sake jinpar khatra zyada hai aur  garbwati mataon ke liye sui uplapdh karna. 

Lekin hume aapke sahyog ki zaroorat hai kyonki COVID-19 se jaan tabhi bachti hai jab aap niyamo ka paalan karte hai aur pahle ke milaan me ise acchi tarah samajhte hai.

PARICHHAN
Hum jaante hai ki kuch logon ko swab hone aur parichan ke parinaam milne me deri huwi hai. Desh bhar me testing average prati din ka 1000 logon me 4.3 tests hai, aur Suva-Nausori me prati din 1000 logon me che tests. Jansankhya ke sthar par hum viksit desh jaise Australia aur state of New South Wales ki tarah testing kar rahe hai jahan yeh prakop faila huwa hai aur hum aisa che laboratories ke duara kar rahe hai. Hum apne testing ki chamta badha rahe hai jabki hum August me Nadi me ek naya Fiji CDC lab ki sthapna kar rahe hai. Aur hum naya web-based system bhi viksit kar rahe hai taaki marizon tak test results pahuchaya jaaye.

Lekin pichle doh saptah me mamle me vridhi huwi hai aur testing ki maang bhi badhti jaa rahi hai jinme wohh samples bhi shaamil hai johh urgent nahi hai isi liye badlao ke samay par asar padta hai. Isse yeh zaroori ho gaya hai ki Mantralay kuch zaroori badlao kare aur aapko kuch naye kadam utaane ki zaroorat hai. Hume apni testing ko lakshit karna hoga taaki weh marizon ke liye kuch badlao kar sake-jiska matlab hai ki hume unn logon ki testing ko lakshit karna hoga jinhe COVID-19 se zyada khatra ho sakta hai. 

LAMI-NAUSORI ILAAKE KE SAMAAJ KE LIYE
Samaaj me jin logon ko gambheer COVID se kam khatra hai, aur aap COVID ke shikaar kisi mariz ke samparrk me aaye hai – udaharan ke taor par agar aap kisi ke saath rahte ya kaam karte hai jinhe COVID-19 hai – aapko maan lena chahiye ki aapko bhi virus hai. Iska matlab hai ki aapko turant chaudha dino ke liye apne aapko ghar par quarantine kar lena chahiye. Agar inn chaudha dino me aapko COVID-19 lakshan jaise ki khaansi, naak bahna, gale me kharash, bukhaar, swaad ya mahek naa aana, shareer me peeda aur sar dard hai- toh aapko yakin se maan lena chahiye ki aapko COVID-19 hai aur apne aap ko alag kar lena chahiye.

KAM KHATRE WAALE MARIZ – GHAR ME ALAG RAHNA 
COVID-19 ke bahut se mariz ko halke lakshan honge aur ghar par hi bilkul theek ho jaayenge. COVID se kam khatre waale marizon se maang ki jaati hai ki weh kripya chaudha dino ke liye ghar par rahe, apne ghar ke anye sadasyon se alag rahe aur COVID-19 ke apne gambheer lakshan par nazar rakhe. Agar aapko COVID-19 ke gambheer lakshan jaise saans lene me takleef aur seene me dard hai toh kripya tay ki gayi health facilities jaaye.

ZYADA KHATRE WAALE MARIZ 
Lami-Nausori ilaake me rahne waale jin logon ko COVID-19 se gambheer roop se khatra hai, hum unki testing karne aur unke results jald dene ko prathmikta denge.

Agar aap ya jinki aap dekhbhaal kar rahe hai ko COVID se gambheer roop se khatra hai-khaas karke agar aap pachaas saal se upar hai, aapko gambheer bimaari jaise diabetes, dil ki bimaari, kidney ki bimaari, asthma, bahut mote hai, ya aap garbwati hai – aapko jald se jald kadam utaakar hamari screening clinics jaana chahiye. Agar aap COVID ke liye positive test huwe hai toh hum yeh dhyaan me rakhenge ki aapko hamari health teame acchi dekhbhaal kare.

Pichle kuch saptah se samaaj me bahut kamzor logon ki mritue COVID-19 ki wajah se huwi hai. Jab hamari health teamo ne pahli baar in marizon ko dekha tha toh inme se kai logon ki haalat bahut hi kharaab thi ya jinki maut ho chuki thi. Agar hamari health teamo ne inn marizon ko pahle dekha hota toh shayad inn logon ki jaan bachaai jaa sakti thi.

Hum jaante hai ki kai pariwaar bahadoori ke saath apne chahne waalon ki dekhbhaal ghar par karne ki koshish kar rahe hai lekin jin logon ko COVID-19 se bahut zyada khatra hai toh ghar par ho rahe dekhbhaal kaafi nahi hai.Inn logon ko apne oxygen level par nazar rakhne ki zaroorat hai, oxygen ki zaroorat ho sakti hai aur hamari clinical teamo ko bhi dekhbhaal karne ki zaroorat ho sakti hai agar unki haalat aur bigdi.

Isi liye kripya, agar aap ya jinki aap dekhbhaal karte hai ko COVID-19 jaise lakshan nazar aa rahe hai aur COVID-19 ke gambheer lakshan hone ka khatra hai toh kripya hume aapki madat karne ka mauka de taaki aapke theek hone ka sabse accha mauka rahe. 

Online ek video circulate ho rahi hai jo hamari ek field aspataal ke sthaan ke baare me hai. Yeh suvidha ilaaj ko badhawa dene ke liye hai aur uski haalat anye field aspataal ki tarah hai jispar hum pahle ke emergency stithi, jaise samudri aandhi aur anye prakritik vipatti ke dauraan nibhar ho chuke hai. Hum abhi COVID-19 prakop ke beech me hai, aur duniya ke anye deshon ki tarah hume bhi tents ka upyog karke swaasth suvidha badhana pada hai taaki COVID-19 marizon ki dekhbhaal ho sake, unhe khaat aur ventilators mil sake jinhe iski zaroorat hai. Viksit deshon me bhi aise kadam utaaye gaye hai. Ek swatantr sarkaari karamchaari hone ke naate, mujhe yeh jaankar dukh pahucha hai ki kuch log jinme samachaar maadhyam bhi shaamil hai, ne COVID positive marizon ke ilaaj ke liye is spast aur zaroori kadam ko kamzor karne ki koshish ki. Kai logon ki jaane inn temporary suvidhaon me bachaai gayi hai aur hum inke upyog par lagataar nirbhar rahenge jabtak aur bhi Fijiwaasiyon ko sui nahi lag jaati, jiske falswaroop iss gambheer bimaari ka khatra aur COVID se maute kam nahi ho jaati. Aaj teen sau satrah (317) log theek huwe hai jabki abhi tak kul chaar hazaar paanch sau pachaas 4,550 virus se theek huwe hai. Theek hona mumkin hai. Vastav me kai mariz theek honge. Jitni jald unn logon ki pahchaan karke unka ilaaj hoga jinpar virus ka khatra hai unti jald weh theek honge. Theek hone waale kai log lagataar field aspataal se nikalte rahenge.

SUI LAGANA
Aaj ka aakda ussi gambheer kahani ko batati hai jo humne May ki shuruwat se dekhi hai: Fiji mein gambheer bimari ka prakop hai aur unn logon ki mrityue ho rahi hai jinhone COVID-19 se bachne ki sui nahi lagwayi thi. Jin 144 logon ne jaan gawayi hai inmein se koi bhi puri tarah se vaccinated nahi tha. Inmein se sirf baais(22) logon ko sui ka pehla dose laga tha aur anye ko sui nahi lagi thi.

Iske alawa hamare paas aur koi sabot nahi hai aapko batane ke liye ki kyu hum sabhi bade logo ko sui lagwani chahiye- jitni jald ho sake- khaas kar ke wohh jo zyada khatre mein hai-Yeh virus ke bure prabhao ke khilaaf ladne ka sabse surakshit tarika hai.

Main ek baar fir kehta hoon, agar aapko sui lagna baki hai, kripya jald se sui lagwaye. Hamare yuwakon ke liye, aap bhi vaccinate ho jaye aur kripya apne mata-pita, dada-dadi, samaaj ke vridh sadasiyon ko apni nazdiki vaccination centre lekar jaye ya drive through ke zariye unhe iss virus ke khilaaf sabse sambhao suraksha pradaan kare.

Ek sakaratmak taor par, aaj tak 410,495 vektiyon ne COVID-19 sui ka pehla dose lagwa liya hai aur 83,732 vekti abh puri tarah doh doses lene ke saath puri tarah se vaccinated ho gaye hai. Yaad rahe, jabki aapko gambheer bimaari aur mrityu ke khilaaf majboot suraksha pradaan ki ja rahi hai, aapko fir bhi COVID-19 ho sakta hai, isiliye kripya hamare anye COVID-suraksha niyamo ka bariki se paalan kare.

Garbhwati mahilao aur anye zyada khatre waale logon ke liye humne Moderna sui upladh ki hai. Ek vekti ko sirf ek dose lagne ke attais (28) dino ke baad Moderna sui ka dusra dose lagwa sakte hain. Toh iska matlab yeh hai ki hum aur tezi se unn logon ki raksha kar sakte hai jo zyada khatre mein hain.
 
Hamare swasthiye sewa pranali ko aur tode bina kaam karne waale sthaano ko fir se kholne ki anumati ke liye, karamchariyon ko sui lagwana chahiye. Social welfare milne waalo ko bhi sui lagwana hoga. Bhale hi sarkaar ne ise aapke liye aniwarye nahi kiya hai, yeh ek aisa jan adesh hai jise aap ko khud apne liye aniwariye banana chahiye. Kewal hamari badhti huwi mauton ki sankhiya par ek nazar daalne ki zaroorat hai, hamare paas sui lagane ke siwa aur koi raasta nahi hai. Sui laga le. Jitna jald ho sake aisa kare. Aur aage badhe: apne doston aur chahne waalo ko bataye ki kyun aapne sui lagwayi hai aur kyun unhe bhi sui lagwani chahiye. 

Har koi sirf isliye sui nahi lagwayege kyunki maine salah di hai, mujhe pata hai. Kuch log apne aas-paas ke logo par, apne samaaj mein, jinke saath bhojan karte hai unpar sabse adhik bharosa karte hain, jinke saath wohh bade huwe hain aur apna pura jiwan unke saath bitaya hai. Dusro se batana ki kyun aapne sui lagwayi hai aur kyun unhe bhi sui lagwani chahiye, aap wohh aawaz bann sakte hain jo unhe surakshit karne ke liye prereet karti hai. Unki jaan bachane aur hamari swasthiye sewa pranali ko iss prakop ke tanao ko kam karne ke liye aap kisi bhi doctor se behtar kaam kar sakte hai. Toh awaaz utaaye. Afsos ki baat hai ki facebook jaisi kayi social media companiyo ne sui ko lekar jhooti aur galat sochna di hai joh sacchaai se kahi zyada tezi se fail raha hai. Toh yeh hamare upar nirbhar karta hai ki hum sui ko lekar sachayi jane aur unke duara sabeet ki gayi suraksha sarwajanik sthaano mein unn logon ke samne laye jinhe iss tarah ke sandeshon ki sabse zyada zaroorat hai.

LOCKDOWN AUR ANYE SWASTHIYE SURAKSHA UPAAYE
Abhi ke liye, hum zyada khatre wale ilaakon mein lockdown ko karna jaari rakhenge. Hum lagataar mask pehenne aur anye logon se doori banaye rakhne par zor de rahe hai. Hum sabhi Fiji wasiyon se apne ghar par rehne ki maang kar rahe hai jab tak ki unke paas ghar se nikalne ka koi zaroori karan na ho. Aur hum zyada se zyada Fijiwasiyon ko sui lagane ke liye daud laga rahe hai. Aap bhi apne hisse ka kaam kare. Niyamo ka paalan kare aur mauka mile toh sui lagwa le. Hum October ke anth tak desh assi 80 pratishat yogye bade logo ko puri tarah se vaccinate karna chahte hai. Hum wahan tak pahuch sakte hain. Aur Fiji tab aur surakshit ho jayega. 

Dhanyewaad.