HINDI - STATEMENT BY THE PERMANENT SECRETARY FOR HEALTH & MEDICAL SERVICES DR. JAMES FONG - 24.06.21

24/06/2021


Namaste.

Hamari dainik mamlon ki jaankaari poori ho gayi hai. Jaisi sambhaona thi aaj dainik mamla aur upar gaya hai. Aaj subha aat (8am) baje tak COVID-19 ke 308 mamle hamare saamne aaye hai.

Lami-Nausori rokthaam waale ilaake se 297 mamle hai aur gyarah (11) mamle Tramline Nadi ke hai. Lami-Suva-Nausori ke purane mamle se jude 218 mamle hai.Inme Qauia Lami se 153 mamle hai. Barah (12) mamle nayi jagah se hai jinme: Goodman Fielder, Gounder Shipping, Nausori Police Barracks, aur St. Giles Aspataal shaamil hai. Baaki ke mamle purane mamle se jude huwe hai, ya unhe screening clinics par dekhe gaye the aur swab kiye gaye. Poori jaankaari online publish ki gayi hai. Naye mamle ki jaankaari Mantralay ke COVID-19 dashboard par bhi dekhi jaa sakti hai. Kripya dhyaan de ki mariz ki jaankaari gupt rakhne ke liye yeh nahi dikhaya gaya hai ki ek mariz theek koun si jagah par hai.

Gounder Shipping ke crew ko alag kar diya gaya hai. Jahan tak hamare shipping crew ke niyam ka sawaal hai, samaano ko unhi ilaakon me utaara jaayega jahan utaarna chahiye, taaki crew aur anye log jinme Vanua Levu aur anye islands ke log hai ke beech koi baat-chit na ho. Crew ko Vanua Levu ya kisi bhi islands par utarne ki ijazat yani permit nahi hai jispar Police, health adhikaari aur Maritime Safety Authority of Fiji sakti se nigraani rakhenge. Bharosa rakhe ki abhi tak humne kisi ko bhi Viti Levu se Vanua Levu ya anye islands jaane ki suvidha nahi ki hai. Ispar khaas details kal waali dainik jaankaari me di jaayegi.

Dukh ki baat hai ki ek mariz jise COVID-19 ke liye positive paaya gaya tha ki maut ho gayi hai. 63 saal ka aadmi 22nd June ko FEMAT aspataal gaya tha, jahan usse positive paaya gaya aur fir aadmi ko CWM aspataal lejaya gaya. Unki maut par chanbin chal rahi hai ki kya COVID-19 ki wajah se uski jaan gayi hai.

Abhi CWM aspataal me COVID-19 ke saat mariz gambheer haalat me bharti hai. Nau me se do mariz jinhe kal gambheer ghoshit kiya gaya tha ki haalat kaafi sudhar gayi hai aur weh abh gambheer haalat me nahi hai.

Har din jo hamari team hume jaankaari deti hai se sanket mil rahe hai ki aane waale dino me, ek din me aur bhi zyada mamle dekhne ko milenge. Main yeh koshish karta hoon ki hum samjhe ki yeh hamare upar kis tarah se asar padta hai aur hum sarkaar ko kya sujhao dete hai.

Sabse pahle hum me se kuch log jinme media ke log bhi shaamil hai ko yeh samajhna chahiye ki uska matlab kya hota hai, jab Fiji me hum ‘lockdown’ kahte hai. Hum na toh Australia me hai na toh New Zealand me. Fiji me lockdown ka matlab hai ek chaubees (24) ghante ka curfew. Iska matlab hai ki medical emergencies ke alawa koi kisi bhi wajah se kahin nahi jaa sakta. Koi shopping nahi. Bhojan laane ke liye baahar nahi jaa sakte. Walk par nahi jaa sakte. Kuch bhi nahi ka matlab hai total lockdown. Anye deshon ne aisa nahi kiya hai. Australia aur New Zealand ne bhi aisa nahi kiya. Toh yeh kahna galat hoga ki kayi anye deshon ne sakti se lockdown kiya hai. Kuch deshon ne Fiji ki tarah lockdown kiya hai. Yahan hamara system alag hai jahan lockdown ka matlab hai sakti se kanoon ka paalan karna. Sakti se lockdown karne ke badle Fiji me zaroori karano se aane-jaane ka mauka diya jaa raha hai aur har shaam che (6pm) se agli subha chaar baje ke beech curfew laagu rahta hai. Anye deshon me ise lockdown maana jaayega. Kai deshon me virus ko aur failne se rokne ke liye iss tarah ke niyam kaafi safal rahe hai. Kyon inn niyamo ne kaam kiya? Kyonki logon ne iska paalan kiya tha. 

Humne Sarkaar ko Viti Levu par, attais (28) dino ke liye ek chaubees (24) ghante ka curfew laagu karne ki salah nahi di hai. Agar mujhe laga ki koi medical case ki wajah se poore Viti Levu par ek chaubees (24) ghante ka curfew laagu karne ki zaroorat hai toh main sidhe Pradhan Mantri ko salah de sakta hoon.Mere paas unka number hai. Hamari briefings me wohh hamare saamne hi baitte hai. Maine yeh salah isi liye nahi di hai kyonki hume nahi lagta hai ki lagataar attais (28) dino ke liye ek chaubees (24) ghante ka curfew kaam karega. Mujhe umeed hai ki social media par joh baatein failaayi jaa rahi hai wohh bandh ho jaayegi. Kripya swaasth niyamo par dhyaan de jisne saabit kiye hai ki uska paalan karne se virus ko failne se roka jaa sakta hai.

Chaar saptah ke liye humne chaubeeson (24) ghante curfew laagu karne ki salah isi liye nahi di kyonki humne dekha hai ki log niyamo ka paalan nahi kar rahe hai aur hume nahi lagta hai ki log sabhi jagah niyaamo ka paalan karenge, aur hamare paas shamta (capacity) nahi hai ki hum Viti Levu me har jagah sakti se lockdown laagu kare. Ek dukh bhari sacchaai yeh hai ki joh Fijiwaasi samaajo me rahte hai ko virus hone ka sabse zyada khatra hai jinme informal settlements me rahne waale shaamil hai aur inn logon par attais (28) dino tak chaubeeson (24) ghanta ka sakt lockdown ka sabse bura asar padega jisse samajik tabaahi ho sakti hai. Hume vishwaas hai ki sakti se lockdown karne par bhi yeh virus in samaajon me ghumta rahega. Hume lagta hai ki kuch log inn samaajon se nikalkar bhaagne ki koshish karenge tatha kuch safal bhi honge. Hume vishwaas hai ki attais (28) dino tak chaubees (24) ghante ke curfew ke baad Fijiwaasi joh dukh-takleef sahenge wohh batana mushkil hoga lekin curfew hatane ke ek din baad naye mamle saamne aa sakte hai. Hamare saamne koi asaan chunao nahi hai lekin kuch anye tarike chaubees (24) ghante sakt lockdown waale chunao se acche hai. 

Isi liye jahan par sabse zyada khatra hai wahan hamare adhikaari tainaat hai aur hum zaroori hone par logon ko idhar-udhar jaane ka mauka de rahe hai taaki weh bhojan aur dawaai khareed sake ya kaam par jaa sake lekin unhe mask pahanna hoga, dusron se doori rakhni hogi aur dhyaan me rakhna hoga ki unke mobile phone par careFIJI app on rahe. Agar iss azaadi ka galat istemaal huwa toh virus zaroor failega. Agar niyam ki izzat ki gayi toh hume lagta hai virus ka failna bahut kam ho jaayega. Niyam ki izzat karne se hum jeetenge. Ispar dhyaan na dene se hamari haar buri tarah hogi.

Tees saal ki ek mahila COVID-19 ke kaaran gambheer haalat me ICU me bharti hai. Yeh naa soche ki jawaan hone se aap is virus se bach sakte hai. Fiji me joh Delta prakop ka virus hai wohh dunia bhar me bahut hi tezi se fail raha hai. Ise chota na samjhe. Iss virus aur prakop ka gambeer asar kisi par bhi ho sakta hai.

Agar aap apne liye niyam ka paalan nahi karna chahte, toh kripya kamzor logon ke liye kijiye. Ek baat mujhe aur meri team ko chintit kar rahi hai ki Fiji me bhaari sankhya me log NCDs, (jeewan jeene waali bimaari) se pidit hai. Diabetes aur hypertension ke marizon ko COVID-19 hone par maut ho sakti hai. Kai Fijiwaasiyon ne COVID-19 sui ka pahla dose hi lagwaya hai. Lekin jabtak inn Fijiwaasiyon ko dusra dose nahi lag jata, hume inki suraksha karne ke liye saodhaani baratni hogi khaas karke wohh log joh khatre waali jagah rahte hai.

Iss baat ka dhyaan rakhne ke liye ki inn Fijiwaasiyon ko jaan bachane ke liye zaroori ilaaj milen, humne NCDs, (jeewan jeene waali bimaari) se pidit logon ke liye ek telehealth ki sthaapna kee hai joh agle Somwaar se Western aur Central Division me khulega. Yeh Somwaar se Shukrwaar ke beech subha nau (9am) se shaam chaar baje (4pm) tak sewa pradaan karega. Iska number 165 hai. Agar aapko NCDs, (jeewan jeene waali bimaari) ki dawa chahiye toh hume agle Somwaar se call karen.

Hum vevastha karenge ki aap apni dawa kisi surakchit jagah se pick kare ya fir hamari mobile teams aapko laakar dawaaiyan dengi agar aap rokthaam waale ilaake me rahte hai. Iss helpline par nigraani rakhi jaayegi taaki dhyaan me rakha jaaye ki call karne waale ki sahayta ki jaaye ya untak dawaai pahuchaayi jaaye.

Main ek bahut hi zaroori baat kahna chahta hoon. Mask pahanna aapko virus se uchit suraksha pradaan karta hai lekin sirf suraksha hi zaroori nahi hai. Mask kuch hadh tak raksha kar sakta hai. Wohh aapki raksha nahi kar sakega agar aap kisi ko gale lagate ho ya supermarket me kisi ke ek dum nazdeek khade honge. Isi tarah se dusron se doori rakhne ki baat bhi hai, ye tabhi kaam karega jab aap doh metres tak doori rakhenge. Lekin jab hum inn niyamo ka paalan saath karenge toh yeh zaroor kaam karega. Jab hum mask pahente hai toh hume dusron se doh metres ki doori bhi rakhni chahiye, apna haath bhi dhote rahna chahiye taaki hume COVID-19 hone ka khatra bilkul kam ho jaaye. Hume yeh sab niyam apnana chahiye jab bhi hum apne ghar se baahar jaate hai. Agar hum aisa karenge toh virus ko ek jagah se dusri jagah tak jaane me mushikil hogi – fir chahe hum idhar-udhar jaayenge bhi.

Toh jaise aaj Attorney-General aur Minister for Economy ne ghoshna kee hai, humne general practioners ki sewa haasil ki hai joh un marizon ki dekhbhaal karenge jinhe COVID ke alawa anye bimaari hai aur weh public aspataalon me ilaaj ke liye jaate the. Agle Somwaar se Nadi, Lautoka, aur Ba tatha Lami-Nausori Corridor me yeh GPs aur unki private clinics unn marizon ki dekhbhaal muft me karegi johh pahle public aspataal se sewa haasil karte the. GP ki sewaon me consultations, reviews, referrals, injections, dressings, aur chote-mote ilaaj shaamil rahenge, jo aam janta ke liye agle Somwaar se uplabdh rahegi. Aaj raat hum apne Government Facebook page par doctors aur unki clinics ki jaghah par jaankaari rakhenge – shayad yeh jaankaari upload ho gayi hogi.

Hum khaane peene waale samaan aur ghar ke samaan supply karne ka kaam bhi outsource kar rahe hai taaki lockdown aur ghar par isolation me Fijiwaasiyon ko zaroori samaan baata jaa sake. Desh me doh supermarkets New World aur Shop and Save ko yeh kaam diya gaya hai. Isse hamari teamo ko medical sewa par dhyaan dene ka samay milega. Koun-koun ke samaan diye jaayenge ki poori list bhi Fijian Government Facebook page par publish ki jaayegi.

Aaj sui lagane waali hamari teamo ne Rastrapati aur Pradhan Mantri ko AstraZeneca sui ka dusra dose lagaya. Dono netaon se Fijiwaasiyon se maang ki hai ki weh apne aapko COVID-19 se bachaane ke liye sui lagwaaye. Kai anye logon ne bhi sui lagwaai hai jinhe hum dhanyewaad dena chahte hai. Main sabhi ko yaad dilana chahta hoon ki sui ka dusra dose lene ke doh saptah baad iska laabh aapko hoga.

Hamari kismat acchi hai ki hume yeh sui mili hai aur baaki sui aa rahi hai. Hamara laksh yaani target hai ki hum 586,000 se zyada bade logon ko yeh sui lagaye tatha sui aane ke baad hum jald se jald inn logon ko sui lagana chahte hai. Jab hume kuch hadh tak mukti mil jaayegi hum kuch niyamo ko hatana shuru kar sakte hai aur ho sake toh videsh se bhi logon ko Fiji aane ka mauka de sakte hai. Lekin wohh din aane tak hume swaasth niyam jaise mask pahanna, haath dhote rahna aur dusron se doori banaye rakhna jaise abhyaas ka sakti se paalan karna chahiye. Sach toh yeh hai ki jo badlao hum kar rahe hai wohh hamare saath rahega. Is mahamari ne dunia badal di hai aur yeh Fiji me bhi badlao karegi. Yeh badlao karne me peeche rahne se hum apne aap ko kamzor bana rahe hai aur hum aisa mauka nahi de sakte.

Humne 299,202 logon ko sui ka pahla dose laga diya hai joh hamari target yaani laksh ke population ka 45% hai. Iss number ke 32,766 logon ko dusra dose lag gaya hai. Pichle teen dino me humne 14,730 logon ko suiyan lagayi hai. Rewa aur Nausori medical subdivision aur Ba medical subdivision, sui lagane me sabse aage chal rahe hai jahan target population ke logon ko Rewa aur Nausori medical subdivision me 70% aur Ba medical subdivision me 81% sui laga di gayi hai.

Mujhe inn medical teams aur wahan ki samaaj par garv hai ki itni bhaari sankhya me logon ne sui lagwaai. Lekin hamara kaam khatm nahi huwa hai. Hamara mission hai sabhi yogya Fijiwaasi ko sui ka dusra dose lagana. Is waqt, COVID-19 ki wajah se kuch log ICU me hai jahan hamare doctors aur nurses unki dekhbhaal karne me jee-todh koshish kar rahe hai. Isi liye jitne zyada logon ko sui lagenge utne hi zyada Fijiwaasiyon aur unke pariwaar waalon ko hum ICU me jaane se rokenge. Sui lagwaana hamari zimmedaari aur medical roop se hamari zaroorat bhi hai tatha yahi hamare liye sahi chunao hai.

Hamare paas abhi logon ko lagane ke liye kam se kam sui ke 100,000 doses hai jabki aur bhi sui aa rahi hai. Fiji ke har ek corner me ek-ek din karke hum ek-ek dose lagate huwe logon ki raksha karte jaayenge.

Dhanyewaad.