HINDI - STATEMENT BY THE PERMANENT SECRETARY FOR HEALTH & MEDICAL SERVICES DR. JAMES FONG - 24.07.21
24/07/2021
Virus failne ki jaankari
Pichle chaubees (24) ghanton me aaj subha aat baje tak COVID-19 ke 684 naye mamle saamne aaye hai. Inn mamlon par puri jaankaari Ministry ke COVID-19 dashboard aur Fijian Government ke Facebook page par aaj raat online publish ki jaayegi. Aap kal yeh link http://bit.ly/3vE2ZBb par jaakard ekh sakte hai ki naye mamle kin ilaakon mein hai.
Unees (19th) July se ikkees (23rd) July ke beech COVID-19 se paanch logon ki maut huwi hai.
COVID-19 se pahli maut Namoli village ki 73 saal ki ek mahila ki huwi. Saans lene me takleef ki wajah se mahila ko Lautoka Aspataal ke Emergency Department gayi thi. Uski haalat aspataal me aur bigad gayi aur uski maut usi din unees (19th) July, 2021 ko ho gayi. Mahila ko COVID-19 se bachne ki sui nahi lagi thi.
COVID-19 se dusri maut Nadera ki 96 saal ki ek mahila ki huwi. Bais (22nd) July ko mahila ki maut ghar par huwi. Mahila ko bhi sui nahi lagi thi.
COVID-19 se teesri maut bais (22nd) July, 2021 ko Suva ki 67 saal ki ek mahila ki uske ghar par ho gayi. Mahila ko sui nahi lagi.
COVID-19 se chauthi maut Nasinu ki 57 saal ki mahila ki huwi. Saans lene me takleef ki wajah se mahila ek health facility gayi jahan uski haalat bigad gayi aur uski maut usi din tais (23rd) July, 2021 ko ho gayi. Mahila ko sui nahi lagi thi.
COVID-19 se paanchwi maut Nasinu ke 57 saal ke ek aadmi ki huwi. Aadmi ki maut tais (23rd) July, 2021 ko ghar par ho gayi. Aadmi ko sui nagi thi.
COVID-19 ke liye positive paaye gaye barah (12) aur mariz ki maut huwi. Lekin unke doctors ka kahna hai ki unki maut COVID-19 ki wajah se nahi huwi hai. Doctors ke anusaar in marizon ki maut unhe COVID-19 ke liye positive paaye jaane se pahle jo bimaari thi usi wajah se huwi hai.
Fiji me COVID-19 ki wajah se abh 177 logon ki maut ho gayi hai, is saal April me shuru huwe prakop ke baad 175 logon ki jaan gayi hai. COVID-19 ke liye positive paaye gaye 87 logon ki maut anye bimaari ki wajah se huwi hai joh unke COVID-19 ke liye positive paaye jaane se pahle huwi bimaari ke kaaran huwi, COVID-19 ke kaaran nahi.
Kal se lekar aaj ke beech 165 mariz theek huwe hai jiska matlab hai abh 16,563 active mamle hai. Isi saal April me shuru huwe prakop ke dauraan 22,443 mamle saamne aaye jabki pichle saal March mein desh ka pehla mamla saamne aane ke baad Fiji me kul 22,513 mamle saamne aaye aur 5,686 mariz theek huwe hai.
Ek aur maut par chaanbin chal rahi hai. Jaanch ke baad tests results ke saath iss par jaankari di jayegi.
Screening ki jaankaari
Pichle chaubees (24) ghanton mein stationery screening clinics par kul (total) 5,726 logon ko screen kiya gaya aur 1,656 logon ko swab kiya gaya, jisse abhi tak stationery screening clinics par kul (total) 354,948 logon ki screening aur 65,606 logon ko swab kiya gaya hai. Pichle chaubees (24) ghanton mein mobile screening teams ne 4,320 logon ki screening ki aur 638 logon ko swab kiya jabki jabse mobile screening program shuru huwa hai tabse hamari mobile teamo ne abhi tak kul (total) 739,036 logon ki screening aur 65,450 logon ko swab kiya hai.
Testing ki jaankaari
Iss saal April me prakop shuru hone ke baad kul 247,846 samples test huwe hai, jabki pichle saal ki shuruwaat se abhi tak 290,707 test huwe hai. Baais 22nd July ko 3,694 tests report huwe. Ikkees July ke testing numbers lab se mil chuke hai aur iss din ke numbers ko update kar diya gaya hai. Pichle saat dino ka dainik test average taor par 3841 tests prati din the yane 1000 logon me 4.3 tests. Pichle saat dino mein dainik test positivity 24.4% hai.
Sui lagane ki jaankaari
Taees (23rd) July tak desh bhar mein 438,535 bade logon ko sui ka pahla dose aur 95,173 logon ko dusra dose lag chuka hai. Iska matlab hai ki desh bhar mein target population ke 74.8% logon ko pahla dose aur 16.2% logon ko dusra dose lag gaya hai yaani weh puri tarah vaccinated ho gaye hai.
Fijiwaasiyon ko yaad dilaya jaa raha hai ki weh Minstry ke vaccine dashboard par jaakar dekhe joh national, divisional aur sub-divisional level par pehla dose aur dusre dose par jaankaari deta hai. Aap iss live dashboard ko yahan: http://bit.ly/3h2JfCZ par dekh sakte hai.
Mahamaari ki Outlook
Pichle saat dino me COVID ke naye mamle ki sankhya average taor par prati din 863 mamle ho gaye hai yaane ek million logon me 975 mamle. Kal aur aaj naye mamle me girawat ko saodhaani se dekhna chahiye-pahle bhi dainik mamle me vridhi aur girawat dekhi gayi hai aur aisa hota rahega. Kuch karaano se aisa hota hai jahan kisi ek din par samples ko test hota hai, udaharan ke taor par Western Division ke samples par abhi gaor kiya jaa raha hai kyonki weh rokthaam waale charan me hai tatha results jald saamne aane se mamle aur unke contacts ki pahchaan jald hone se virus ko failne se roka jaa sakta hai. Hamare saat dino ke average mamle par nigrani rakhne se madad milti hai ki hamare mamle kis disha me badh rahe hai.
Aam janta ko salaah
Suva-Nausori ke containment ilaako mein COVID-19 lakshan wale logon ke liye:
Jinhe lakshan dikhayi de raha hai abh unka test nahi kiya jayega. Aapko ghar par rehna hai aur khud ko chaudah din ke liye isolate karna hai. Zyadatar COVID-19 ke kuch halke lakshan dikhayi denge jinme, Khaasi, naak behna, naak band hona, cheek, thakaan, swaad na aana ya mehek na aana, aur sar dard jo ghar par theek ho sakta hai. COVID-19 se kam khatre wale logon se hum maang kar rahe hain ki aap ghar par khud ko chaudah dino ke liye isolate kar le. Apne parivaar se khud ko isolate kar le aur gambheer lakshan ko monitor kare aur agar aapko gabheer COVID-19 ke lakshan jaise saans lene mein takleef, ya chaati mein dard ho to jald se nirdharit nazdiki health facilities jaye.
- Colonial War Memorial Hospital (CWMH)
- FEMAT Hospital, Vodafone Arena
Nausori ke niwaasiyon ko agar gambheer lakshan hai toh weh:
- Nausori Health Centre
-Wainibokasi Hospital
165 par call kare agar medical facility nahi ja sakte.
Agar aap ya jinki aap dekhbhaal karte hai ko gambheer COVID bimaari ka khatra hai- khaas karke jab weh pachaas (50) saal se upar hai, ko koi gambheer bimaari jaise diabetes, dil ki bimaari, kidney ki bimaari, asthma, motapa ya agar aap garbwati hai toh aapko jald se jald nazdiki screening clinic jaana chahiye. Agar aapko COVID-19 ke liye positive paaya gaya toh hum dhyaan me rakhenge ki hamari health teame aapko jald se jald dekhbhaal kare.
1.) Jin karamchaariyon ko COVID ke lakshan hai aur jinhe kaam se opchaarik chutti ki zaroorat ko sujhao diya jaa raha hai ki weh nazdeeki screening clinic jaaye, jaanch karaye aur chaudha (14) din ghar par alag rahne ke liye medical certificate haasil kare.
2.) Jin karamchaariyon ko COVID ke lakshan dikhaai dete hai ko General Practitioners (GPs) se bhi chaudha (14) din ghar par alag rahne ke liye medical certificate haasil kar sakte hai.