HINDI - STATEMENT BY THE PERMANENT SECRETARY FOR HEALTH & MEDICAL SERVICES DR. JAMES FONG - 28.04.21

28/04/2021


Namaste!

Aaj main thodi acchi khabar ke saath aaya hoon -  COVID se ladne waale hamare hathyaar me ek naya hathiyaar shamil huwa hai jo ki COVID-19 laboratory test aur tezi lane mein hamari madad karega. Aaj subah nau baje hamein chaar naye GeneXpert machine mili hai, jo saath milakar chaubees ghanto mein ek saath 384 aur tests kar sakenge.

Inn machines ke aane se hum ab ek din mein yaha 1128 tests kar sakenge. Positive mamlo ki tracing wale kadam par apna lakshaye haasil karne tatha bhavishaye ki or dekha jaye toh yah upkaran kaafi zaroori honge, hum iska istemaal karne ke liye taiyar hain.

Kal 685 laboratory tests, 20,201 logo dwara health screening ke baad aaj main yahan COVID-19 ke do naye mamle ki report karne ke liye khada hoon.

Pehla mariz jo ki desh mein 110th  case hai jise COVID-19 huwa hai, ek chintit mamla hai aur iss bare mein chaanbin karne ki zaroorat hai ki kya yah wartamaan ke mamlo se nishchit roop se juda hai ya nahi. Woh Ra Provincial Office ka 53 saal ka caretaker hai, jo 24th  April ko Nanukuloa Health Centre gaya tha jab uske shareer mein pida huwi jo ki COVID ka ek chihn hai. Use Lautoka aspatal ke isolation ward mein rakha gaya hai.

Pehle toh main iss Fiji wasi ko dhanyewaad dena chahta hoon. Usse jab chihn dikhayi diya tab usne report ki. Ya bilkul sahi kadam tha. Zarurat ke mutabik uski dekhbhaal ho rahi hai aur woh abhi kisi ke liye khatra nahi hai. Uske parivaar walo ka bhi test kiya gaya hai, issi wajah se abh kisi ke liye khatra nahi hai aur Fiji ek surakshit desh hai.

Uske sabhi parivaar walo ko Ra Special School mein quarantine mein rakha gaya hai tatha Police officers iss jagah par suraksha pradaan kar rahe hai. Fiji Police Force ne Naiserelagi, Nanukuloa  tatha Cokonavatu settlement ko rokthaam wale ilako mein ghoshit kiya hai. Yah aadmi pachas anye logo ke sampark mein aaya tha jinki pehchaan huwi tatha bukhaar aur anye chihn ke liye unhe screen kiya gaya. Naiserelagi, Nanukuloa  tatha Cokonavatu settlement ke sabhi pariwaar ko agli soochna tak ghar par rehne ki mang ki gayi hai.

Ho sakta hai ki iss waikti ke sampark mein aur bhi log aaye honge. Rakiraki mein rehne walo ko COVID-19 ke kisi bhi chihn ke liye satark rehne ki zaroorat hai; agar aap bimaar hai toh iss aadli ki tarah apni nazdiki screening clinic jaye ya 158 par call karke health ministry ke adhikariyo ka intezaar kare jo ghar par aa kar aapki jaanch karenge. Iss ilaake mein screening clinic, Rakiraki Divisional Hospital tent, Nasau Health Centre, Police Station ke theek saamne bhi lagaya gaya hai. Aap kahin bhi jaye toh apne fone mein careFIJI App on zaroor kare.

Aaj ka hamara dusra mamla, 25 saal ka ek aadmi hai, jo makoi ki uss mahila ke ghar tha jo ki 95th case hai. Humne contact tracing se pata lagaya hai ki yah waikti mahila ke sampark mein aaya tha aur iss wajah se uska bhi test kiya gaya halaki uss waqt COVID ke koi lakhshan nahi the. Woh barah se unnees April tak Makoi mein tha fir woh Vunimono Nausori chala gaya jahan se usse lakar uska test kiya gaya. Iss waikti ko surakshit Colo-i-Suva ke isolation ward mein rakha gaya hai aur uske sampark mein jitney bhi log aaye the ko Colo-i-Suva mein quarantine mein rakha gaya hai. Yah baat samajhna bahut zaroori hai.  Contact tracing karne ki wajah se iss aadmi ki bimari jald pakdi gayi jisse Makoi wali mahila se aur bhi logo tak yeh bimari faili. Isliye yaad rakhe ki hamari contact tracing team ko support kare jab woh aapse jaankari maang rahe ho. Unhe poori jankari de ki aap kahan kahan gaye the aur kin kin logo se mile the. Yeh apki aur anye Fiji wasi ki suraksha ke liye hai.

Iss mamle ke baad pichle saal March se abhi tak Fiji COVID ke 111 mamle samne aaye hai. Inn mein se 44 mamle active hai tatha inn logo ko isolation mein rakha gaya hai.

Hum aise samay mein hai jahan pure desh mein roktham laga hai lekin wartamaan ke mamle sanket de rahe hai ki yeh virus Viti Levu ke vibhin ilako tak faila hai. Yeh doh saptah Fiji ke liye agle doh mahine taye karega aur hum sabhi ko aisa manna chahiye ki hamein COVID hai, halaki hamare samaaj mein koi mamla nahi hai ya hamein koi chihn nazar nahi aa raha hai. Aisa karke tatha mask pehnkar, ghar par rehkar, apna careFIJI app on karke aap logo ki jaan bacha sakte hain.

Hamari contact tracing ki madad karne ke liye, iss kendr ki puri soochi samachar patro mein vigyapan ki tarah tatha Fijian Government Facebook page par chapi jayegi. Jo log in bataye gaye jagho aur samaye par sthith the ko 158 pr call karna chahiye.

Hare ek naye mamle ke saath yeh mahmaari naye tatha aur bhi Fiji wasiyo ke liye adhik waiktigat arth lekar aata hai. Na kewal pariwaar walo ke liye balki, padosiyo aur pure samaaj ke liye. Humne pehle kai baar surakshit rehne wali buniyadi niyam ke bare mein suna hoga. Lekin hum mein se kai logo ne lambe samaye ke rashtriye COVID roktham ke dauran suraksha ki jhooti bhavna rakhi aur shayad  humne niyamo ka palan nahi kiya hoga, isliye hum dohrate rehte hain: Pehla niyam hai ki ghar par raho agar aapke paas bahar jane ka koi thos karan nahi hai. Aise logo ke saath meljol na kare jo aapke ghar mein nahi rehte hain. Kisi bhi tarah ke khelkud nahi hona chahiye.

Chote antim sanskaar samaroh aayojit kare, ek jagah par ikatha na ho. Vaastav mein jahan tak ho sake logo se do metre ki doori rakhe. Ghar se bahar kabhi bhi ja rahe ho toh apna mask zaroor pehne yah chehra dhaak le.

Acchi tarah apna haath dhote rahe. Dikhayi dene par sanitizer ka istemaal kare.

Jo vyapaar zaroori sewa nahi pradaan karte ko apna sanchalan bandh karna chahiye.

Aap taki, bilo aur tambaku baant kar na piye. Logon ke beech baatcheet tatha bina mask ke baatcheet karna aapko khatre mein daal sakta hai aur kripya kar ke careFIJI app download kare aur ise on karke rakhe jab bhi aap sarwajanik jagho par ho. Isse data aur battery ka kharch nahi hoga. Ise upyog karne ke liye apki apni marzi ki zaroorat hoti hai.

Kai log humse maang kar rahe hai ki hum apne niyam aur salah aniwariye kare lekin kuch cheeze logo ki marzi se ho sakti hai. Hum kisi ek junction par nakabandi kar sakte hai. Hum logo se mask pehnne ke liye keh sakte hai, lekin kya aapko lagta hai ki sarkaar desh mein har ek fone, ghar yah naukri wale sthaan par jakar dekh sakti hai? Bilkul nahi.

Lekin aam janta hone ke naate aap inn chizo ko apne liye aniwariye bana sakte hai agar hum sab ne waiktigat zimmedari se kam liya aur inn niyamo ko palan huwa to hamein kanoon aur sakt karne ki zaroorat nahi hogi aur hum iss virus ko ek baar fir hara sakenge.

Har ek Fijiwasi ko khud faisla karke apna haath dhote rehna chahiye, mask pehnna chahiye, careFIJI app download karna chahiye aur dhyan mein rakhe ki yeh onn rahe tatha dusre se duriya banaye rakhe.

Mantralaye har waqt aapko yeh sab cheeze nahi karwa sakta lekin aap khud kar sakte hain. Mantralaye aapke darwaze band nahi kar sakta lekin aap kar sakte hai ki koun andar jaye aur koun bahar. Hamari team aapke paas khadi hokar nahi gin sakti ki aap kitne seconds tak apna haath dhote hain ya dhyaan rakhte hai ki haath acchi tarha se dhoye jaye.

Aaj se hum roktham wale ilako mein logo ke ghumne-firne par pratibandh laga rahe hain. Logo ko apne ghar loatne ke liye paryapt samaye diya gaya tha isiliye hum ab ummeed karenge ki sarwajanik gaadiya jaise taxi aur bus mein roktham waale ilake ko paar nahi karegi. Ab se Health aur Medical Services rokthaam wale ilaake ke bahar jane ke liye sabhi passes pradaan karega. Yeh kewal swasthiye ke emergency sthiti ya antim sanskaar ki taiyari ke liye hoga. Dialysis marizo ki ssochi bhi seema par police team ke paas hai lekin hum inn marizo se maang kar rahe hai ki weh kewal 14 dino tak lockdown ke andar rahe.

Bhojan aur dawaiyon ki supply seema par badli ja sakti hai tatha jinhone iski maang ki hai woh seema se samaan prapt karne wale logo tak pahuchane ki vaivastha kar sakte hai.

Supermarket, Bank aur pharmacy khuli rehne ke piche yeh karan hai taki logo ko zaroori chize jaise dawaiya milti rahe. Roktham wale ilake mein hum private sector ke saath kaam kar rahe hain taki dhayan mein rakha jaye ki har ek Fiji waasi jo iss ilake mein hai ke liye zaroori sewa aur zaroorat ke sabhi samaan uplabd rahe. Zaroori swaye hasil karne ke liye roktham wale ilaake se nikalne ka koi bahana nahi chalega.

Iss prakop ke dauraan aam janta, tatha social media par log quarantine guides ko legar kafi nirasha jata rahe hai. Kripya yeh ek dusre par ungli uthane yah dosh dene ka samaye nahi hai. Yah baat sach hai ki quarantine guides pure ek saal tak COVID ko seema par hi rok kar rakhe huwe the lekin ek chuk se yeh virus pure Viti Levu mein fail gaya jo ki iska pakka sabut hai ki yeh virus dekhbhaal mein koi kami ya bhool ko bhi maaf nahi karega. Agar ya unke saath ho sakta hai toh aapke saath bhi ho sakta hai. Isiliye hamesha satark rahe. Inn niyamo ko lekar koi daya na dikhaye jo aapki suraksha ke visheshagyo ne taye kiye hai.

Hum chahte hai ki yah jald khatam ho jaye. Yah haasil karne ke liye hum sabhi ko ghar par rehna chahiye jitne zyada log aisa karenge, utna hi zyada mauka COVID ko ek baar fir kaboo karne mein hoga.

Deshbhar mein kayi Fiji wasi, apne aur apne chahne walo ki chinta karte huwe hamari salah ko dil se maan rahe hai, mere paas Serua prant se kuch tasveere aayi jahan samajik neta ilake ke parivaar ki suraksha ke liye roktham ke niyam lagoo kar rahe hain. Kisi ne unko aisa faisla karne ke liye aadesh nahi diya tha, unhone aisa kiya kyonki unhe apne samaj ki suraksha ki chinta thi.

Manniye  Pradhan mantri chahte hai ki ya Sandesh Fiji wasi tak pahuche jinhe isse sunne ki zaroorat hai, isiliye unhone pura bayan hindi aur iTaukei basha mein anuwaad karne ko kaha hai. Main samajik netao ko protsahit kar raha hoon ki we jald hamare sandesho ko logo tak pahuchaye, jo ki samaaj mein hamare swasthiye niyamo ko lagoo karne ke baad kadam uthane se behtar hai.

Kuch log abhi bhi hai jo soch rahe hai ki unpar asar nahi padega. Duniya bhar mein kayi logo ne aisa socha tha lekin unke desho mein COVID ne tabahi macha di. Unki dukhad ghatna hamare liye seekh honi chahiye. Iss sabak ko hamein ansuna nahi karna chahiye. Humein iss sachayi ka samna karna chahiye jo hamare samne hai jabki hazaaro Fiji wasiyo ki jaan khatre mein hai. Kuch khatre ke bare mein hamein jankari nahi hai tatha hum mein se koi bhi iske bhayanak parinamo se surakshit nahi hai.

Lekin asha ki kiran abhi bhi hai. COVID-19 ke naye tike ka batch Fiji mein hai, tatha unn logo ko lagaye ja rahe hai jinko sabse zyada khatra hai aur bhi shipment ayegi. Aur bhi Fiji wasiyo ki suraksha hogi. Lekin jis din tak hum sabhi ko isse chutkara nahi milega, hum sabhi ko swasthiye niyamo ka palan karna hoga.

Pichle saal tees dino ke andar humne dekha ki kam samaye mein ek desh jo balidaan deta hai se humne pura ek saal COVID ko samaj se bahar rakha. Hum wada nahi kar sakte ki yah balidaan jald khatam hoga, lekin hum ya wada zaroor kar sakte hain ki yeh balidaan jaan bachaega. Isiliye iska palan kare, Fiji ko surakshit rakhne mein hamari madad kare.

Dr Aalisha Sahukhan dwara mamle par aur jaankari dene ke baad hum sawalo ka jawab denge. Jin topics par hum prakash daal diye hai uspar wapas roshni dalne se samaye barbaad karne ki aadat si ho gayi hai, isiliye hum samachar madhyamo se mang kar rahe hain ki weh ek media sirf ek sawal kare. Kripya chikitsa se vaastwikta par dhyan kendrit kare.

Dhanyewaad!