HINDI - STATEMENT BY THE PERMANENT SECRETARY FOR HEALTH & MEDICAL SERVICES DR. JAMES FONG - 29.04.21

29/04/2021


Namaste

Humne aaj kuch der me yeh ghoshna shuru ki hai. Jaisa ki humne pehle kaha hai, hum lagataar virus ke liye 24 ghante tests kar rahe hai. Positive mamle har waqt suvidhajanak samay me nahi aate. Aaj kuch der se hume kuch badlao karne pade taaki dhyaan me rakha jaaye ki hum is badlao ko janta tak pahucha sake.

Mujhe pata hai ki aap sabhi hamare COVID-19 marizon ke swasth ki chinta kar rahe honge. Main aapko bata sakta hoon ki kisi bhi mariz ki halat chintajanak nahi hai. Hum unki dekhbhaal kar rahe hai taaki unhe zaroori care mil sake.

Mujhe dukh hai ki aapke liye yahi ek acchi khabar thi.

Pichle 24 ghanto me 605 tests huwe tatha Fiji me COVID-19 ke 5 naye mamle saamne aaye hai. Pehle do mamle, anye mamlo se jude hai jinki ghoshna pahle ki gayi thi. In logo ko quarantine facility me COVID ke liye positive paaya gaya hai. Pehli mariz 25 saal ki mahila hai jo us vekti ki patni hai jo Vunimoni ke thahra tha aur dusri mariz 52 saal ki us vekti ki aunty hai.

Teesra mamla pehle border quarantine me reh chuka ek yatri ka hai to shukrwaar 9th April ko Papua New Guinea se Nadi aaya tha. PNG se aane se pehle teen baar uska test kiya gaya tha aur har baar negative tha. Tanoa Hotel border quarantine me do baar test karne par use negative paaya gaya tha. Is vekti ko 23rd April ko chutti dene se pehle test kiya gaya tha. Apni chanbin ke dauraan Navua me fir is vekti ka test kiya gaya jahan usse positive paya gaya. Usse ab quarantine me rakha gaya hai. Hum yeh keh sakte hai ki yeh vekti Makoi waale mamle ke contact me aaya tha jab woh Tanoa me quarantine se chutti lekar nikal raha tha. Yeh mamla dikhata hai ki yeh niyam todne se kitna bhaari khatra ho sakta hai jab hum aise virus se ladh rahe hai jo tezi se fail raha hai.

Humne Tanoa border quarantine se April 12th se 25th ke beech nikle 98 logon ki pahchaan ki. 82 logon se contact kiya gaya hai jinhe ghar par rehne ki salah di gayi hai. Un logon par lagataar tests ho rahe hai jabki baaki 16 logon ko contact karne ki koshish ki jaa rahi hai.

Chautha mamla Rakiraki ke 68 saal k ek vekti ka hai jo Rakiraki Aspataal ke Outpatients vibhaag gaya tha jab usse khaasi aur bukhaar lag raha tha. Hum abhi nahi keh sakte ki is mamle ka dusre mamle se sambandh hai ya nahi. Chanbin ho rahi hai tatha vekti ko quarantine me rakha gaya hai. Hume yakeen hai ki is vekti ki tarah aur bhi log wahan honge. Fiji me agar koi bimaar hai toh unhe apni nazdeeki screening clinic jana chahiye.

Paanchwa mamla ek border quarantine ka mamla hai. 23 saal ka aadmi April 22nd ko Guyana se Fiji, Auckland hote huwe aaya tha, 14 dino tak Nadi me quarantine me rehne ke dauraan usse positive paya gaya hai.

In naye mamlo ki contact tracing ho rahi hai. Hum Vunimono ki us mahila ko lekar chintit hai jo ki ek garment factory me kaam karti hai. Somwaar ko niyam ki ghoshna karne ke baad iss garment factory ko band kar diya gaya hai. Unke saath kaam karne waale sabhi karamchaariyon ki screening ho rahi hai. Is mahila ki factory ke maalik aur bagal waali factory ke managers hamare saath milkar kaam karne ko raazi hai taaki dhyaan me rakha jaaye ki unke karamchaariyon ki screening aaj raat ho. Aaj raat hamari yojna hai ki hum zyada se zyada gharon me jaakar screening karenge, sambhao huwa toh 80 percent logon ki swasth suraksha aur rokthaam kal shaam se badaye jaa sakte hai.

Filhaal, hamara 110th mamla jo Rakiraki ka hai ke baare me abhi bhi saaf taor se pata nahi hai ki unko yeh virus kaise huwa aur kya unka anye mamlon se koi samband hai. Lekin contact tracing ki wajah se hume jaankaari mili lekin jabtak hum opchaarik taor se kuch Pushti nahi karte, Fijiwaasiyon ko lagataar aisa manna chahiye ki unko Coronavirus hai.

Ra me sima tay ki gayi hai aur mariz ke pariwaar waalo ko quarantine me rakha gaya hai jinka test karne ke liye screening ki gayi hai. Humne is vekti ke contact me aaye 40 anye logon ki jaanch ki hai tatha 406 anye logon ki screening huwi hai. Unka parinaam abhi nikalna baaki hai.

Filhaal, 111th mamla jo Makoi se sambandhit mamla hai aur jo Vunimoni Nausori gaya tha bhi ek chintajanak mamla hai kyonki 14th April se woh kayi jagah par ghoom raha tha. Yeh vekti do saptah se zyada samay se Viti Levu me idhar udhar ghoom raha tha. Isiliye hamari contact tracing team raat din ek kar rahi hai taaki un logon ki pehchaan ho sake jo is vekti ke contact me aaye honge aur jo khatre me ho sakte hai.

Hum umeed kar rahe hai ki iss vekti ke dwara virus failne ka khatra kam raha hoga kyonki un dino iss vekti ko COVID ka koi chin dikhayi nahi de raha tha. Lekin yeh vekti khatre waala kaam kar raha tha jaise yaqona peena, doston aur ristedaaron ke saath tambaaku baatkar peena isiliye anye logon ko bhi yeh virus ho sakta hai. Hum koi bhi mauka haath se jaane nahi denge.

Agar in sabhi naye mamlo ko saath me liya jaaye aur kuch anjaan mamle jinka pata nahi hai ki kahan se virus faila hai toh yeh ishara milta hai ki samaaj me yeh virus bhaari sankha me logon tak fail sakta hai. Hum vishwaas karte hai ki hum COVID mamle ki sankhya tezi se upar jaane ki abhi shuruwaati daur me hai.

Bahut se Fiji wasi isse bahut hi gambheerta se le rahe hai jinko hum dhanyawaad de rahe hai. Lekin yeh kaafi nahi hai. Har ek Fiji wasi ko zimeedaari se kaam lena chahiye. Samay samay se haath dhote rahiye aur ghar par rahe. Abhi bhi kayi log idhar udhar ghum rahe hai.

Kripya ghar par rahe aur ek jagah rahe. Agar koi sabse accha niyam hai to woh yahi hai ki ghar par raho. Ghar par hum sabhi surakchit hai. Main sabhi se ek hi sandesh dusre ko dene ki maang karta hoon ki anye logon ko ghar par rehne ke liye kahe.

Agar aapko ghar se nikalkar kahin jana behad zaroori hai toh hamesha mask pahankar aur apne phone me careFiji aap on karke hi jaaye. Agar aapki tabiyat theek nahi hai toh 158 par call kare ya apni nazdeeki screening clinic jaaye. Agar aap crowd dekhe to usme shaamil hokar samasya na badaye  balki anye logon se door rahe kyonki yeh zindagi aur maut ki baat hai. Crowd ka anumaan lagana aur usse sambhaalna bahut hi mushikil hai yeh hum sab jante hai. Aaj Health Ministry ke Headquarters ki building ke bahar bhaari crowd tha. Hum example tay karte huwe apni sewayen alag jaghon se denge tatha log online bhi sewayen prapt kar sakte hai. Zaroori sewa pradaan karne waale vyapaariyon ko bhi hamare saath aage badhna chahiye. Agar aap crowd dekhe to apne darwaaza  band kar de ya fir sahi adhikaariyon se aapki madad karne ke liye kahna padega.

Isi beech kai log jabki ghar par hai to isse hamari janta ko screen karne ki bhaari karwaahi ko bhaari madad mil rahi hai. Humne Narere aur Cunningham se pehle daur ki screening kar li hai, Wainivula, Caubati, Tacirua tatha Makoi mein 95 percent logon ki screening ho chuki hai jabki Viti Levu bhar me 144,747 logon ki screening khatam huwi hai jabki kayi hazaar aur log baaki hai.

Yeh screening kaam kar rahi hai khaas karke tezz failne waale COVID-19 ka pata lagane ke liye, aur jabki aapki screening ho chuki hai to iska matlab yeh nahi hai ki aap niyamo se mukt ho gaye hai. Screening, tests se bilkul alag hai tatha yeh 14 days quarantine me rehne se bahut door ki prakriya hai. Isiliye hum khatre wale jaghon mein zyada baar screening karenge kyonki ek baar jinki screening ho gayi hai baad waale dino me uske andar virus paaya ja sakta hai.

Kal maine kuch tazveere dekhi jahan Lami mein ek jagah kuch log picnic mana rahe the jabki Lami kai khatre waale jaghon me se ek hai. Inme zyadatar yuwa log the jo lockdown party kar rahe the. Yeh wahan nahi hona chahiye. Vastav me yeh kahin bhi nahi hona chahiye. Ek jagah ikkatta hone par pratiband hai kyonki kitni bhi sankhya me log ikkatta ho yeh virus fail sakta hai. Ek photo me maine gina ki ek ke upar 19 log the. Inme zyadatar yuwa log the. Inme se agar ek ko COVID-19 hota toh asaani se 18 anye logon tak yeh virus fail jata.

Aisa samjha jata hai ki yuwa logon ko COVID-19 pakadne ka khatra kam rehta hai lekin isse koi fark nahi padta. Yuwa logon ko koi chhoot prapt nahi hai- humne anye deshon me dekha hai ki jab virus ka prakop hota hai to sabhi par asar padta hai. Yuwa logon ko aspataal me bharti kiya jaa sakta hai tatha unki jaan bhi jaa sakti hai. Hamare gharon mein kayi pidiyon ke log rehte hai. Bacche, mata pita tatha Dada Dadi ek hi chat ke neeche rehte hai.

Ek yuwa jo us picnic ka hissa tha, tezz failne waala virus apne Dada-Dadi tak faila sakta tha. Picnic jaisi choti si cheez logon ki jaan le sakti hai. Isi liye main Fiji mein sabhi mata-pitao se maang karta hoon ki apne bacchon ko ghar par rakhe.

Schools band hai tatha bacche aapki nigraani me hai, aur unpar nazar rakhna aasaan nahi hai to aisa hi kare. Jaisa maine kal kaha tha, rokthaam waale ilaake se guzarne par pratiband hai. Hum kisi ko bhi border paar karne ke liye koi paas nahi de rahe hai.

Hum antim sanskar ki taiyaari ke liye kuch naye niyam laagu kar rahe hai. Maut ka anumaan koi nahi laga sakta isi liye dukh ki baat hai ki antim sanskaar jaise samaroh ko taala nahi jaa sakta. Kisi ki maut hone par hum shaw ko antim sanskaar waale sthaan lejane ke liye rokthaam waale ilaake se guzarne ka mauka de sakte hai. Lekin hum sirf gaadi me ek driver ko seema paar karne ka mauka de sakte hai. Is driver ke phone me careFIJI app download hona chahiye jo on hona chahiye. Driver ke saath Correction Officers honge taaki dhyaan me rakha jaaye ki rokthaam waale ilaake me who gaadi ke andar rahe. Yeh bhoolna nahi chahiye ki yeh prakop ek antim sanskaar se shuru huwa tha.

Jab antim sanskaar jaisi jaghon par ho toh hume anushasan me rehna chahiye aur mask pehanna chahiye, ek dusre se duriyan rakhni chahiye aur dhyaan me rakhna chahiye ki 20 se zyada log isme bhaag na le.

Humne kuch zaroori samano ko logon tak pahuchane ke liye yojna banayi hai. Rokthaam waale ilaake ke andar bhojan aur anye zaroori samano ko idhar-udhar lejane ke liye swikriti ki zaroorat nahi hai. Drivers ko mask pehanna chahiye aur rozana haathon ko sanitize karte rahna chahiye. Delivery me madad karne ke liye weh apne saath ek yatri ko bhi leja sakte hai. Yatri ko bhi mask pahanna chahiye tatha samaan utaarte waqt jitna ho sake ek dusre se door rehna chahiye. Har ek driver aur yaatri ke phone me careFIJI app download hona chahiye tatha rokthaam waal ilaake mein rehne ke dauraan yeh on hona chahiye. Isme unke koi dikkat nahi hona chahiye.

Ek rokthaam waale ilaake se dusre tak bhojan aur anye zaroori samaan lejane ke liye swikriti ki zaroorat hogi. Iske liye aap covidpassmoh@gmail.com par email kar sakte hai. Mujhe umeed hai ki sabhi ko isse yaad rakhne me asaani hogi. Agar aapko delivery karne ki swikriti mili hai toh driver ko mask pehanna chahiye, rozana sanitize kare tatha ek dusre se do metres ki dooriya rakhe. Ek baar fir phone me careFIJI app download hona chahiye aur yeh dinbhar on rehna chahiye.

Rokthaam waale ilaake mein driver ko gaadi se bahar nahi utarna chahiye, woh glass bhi utaar sakta. Samaan laadne aur utaarne ka kaam wahan upasthit log karenge. 

Is baare me puri jaankaari hum mantralay ke website tatha Fijian Government ke facebook page par chapenge, Yeh aur baaki niyamo ki maange badh sakti hai: hum jaante hai. Yeh pratiband antim upay ke kareeb ho sakte hai. Yeh niyam isiliye laagu hai kyonki yeh zindagi aur maut ki baat hai. Hum chahte hai ki log in niyamo ko gambheerta se le.

Hamara aur aapka lakshaye ek hi hai ki sabkuch jald se jald surakshit tarah se normal ho jaaye. Kripya yeh baat samjhe ki apni madad pahuchane ka sabse aasaan tarika hai ki aap ghar par rahe.

Halaki COVID hamare beech hai, Fijiwasiyon ko apni bimaariyon ka ilaaj karne ke liye dawa ki zaroorat hai.Inme se kuch bimaariyan Coronavirus ki tarah jaanlewa hai ya usse bhi zyada khatarnaak hai. Hamare asptaal khule hai jahan logon ki dekhbhaal uss tarah se ho raha hai taaki yeh virus aur faile nahi, lekin hum kuch zaroori cheezon ki kami ka saamna kar rahe hai. Kuch hamare kaabu se bahar hai kyonki global supply me kami ki karan aisa huwa hai.

Ek kami hum saath milkar pura kar sakte hai aur woh hai aspataalo me khoon ki kami. Main aap sabhi ko bata dena chahta hoon ki agar aap blood donate karna chahte hai to aisa karna surakshit hai. Agar aapko pehla COVID vaccination lag gaya hai fir bhi aap blood donate kar sakte hai. Kripiya mauka dekhkar nek kaam kare tatha is baare me jaankaari aur failayi jayegi.

Meri teame raat bhar  kaam karke hume naye mamlon par sahi jaankaari degi ki hum kahan khade hai. Agar aapko screening ke liye bulaya jaaye to kripiya unko sajhyog de. Weh aapki madad karne ke liye hai. Dr Aalisha ke paas aur kuch jaankaari hai jiske baad hum kuch sawalon ka jawab denge.

Dhanyewaad.